____________________________________
21. Allama Muhammad Al Jazri (Born 751 to 833 Hizri) :

🌼Adab e Dua likhte hai
"Har Shaks ko Dua me Ambiya aur Salehin ka Waseela lekar dua mangni chahiye.

Kitab ke akhir me Imam Ibn Jazri رحمة الله عليه​ farmate hain Dua puri hone ke baad Insan ko apne chehre par hath pher lena chahiye."

📜[Al Hisnul Hiseen, Page No. 25]


22. Al Hafizh Shihabuddin Abul Fazl Ahmad ibn Hajar Asqalani (Born 773 Hizri to 852 Hizri) :

Fir Hazarat Umr رضي الله عنه Ne Logo Ko Khitab Karte Huye Farmaya Ki Rasoollallah ﷺ Hazarat Abbas رضي الله عنه Ke Sath Waisa hi Suluk Karte The Jaisa Ki Beta Apne Baap Ke Sath Karta Hai. Lehaza Aye Logo! RasoollaAllah ﷺ Ke Chacha Hazarat Abbas رضي الله عنه Ke Sath Huzur ﷺ Ka Tarika Apnao Aur Unhe Khuda-E-Ta’ala Ki Bargah Me
Wasila Banao.

📜(Fatahul Bari, Sharah Bukharee Zild 2, Pg.413)

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Other Part-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/waseela.html