___________________________________
Hadees No. 15

Hazrate Jaabir رضي الله عنه se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ek safar se wapas tashreef laye Jab Aap ﷺ Madeene Shareef ke kareeb huye to ek hawa aesi chali ki lagta tha ki wo sawaro ko dafn kar degi Rasoolullah ﷺ ne farmaya ye hawa ek munafiq ki maut par bheji gayi hai . Raawi kahte hain ki jab Madeena shareef aaya to waqayi munafiqin ka sardar mar gaya tha.

📕 »» Mishkat, Babul Mojezaat, Safa 536


Yaani Rasoolullah ﷺ ne raaste mein hi apne As-haab ko bata diya Madeena mein ek munafiq mar gaya hai.

Ye safar Gazwa e Tubook se wapasi ka tha aur wo munafiq Rifa'a Ibne Duraid
Tha.

Awwal-O-Aakhir Sab Kuch Jaane Dekhe Ba'eed-O-Qareeb,
Gaib Ki Khabare Dene Waala Allah Ka Wo Habeeb ﷺ.


___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html