___________________________________
Hadees No. 14

Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ do qabro ke paas se guzre to Aap ﷺ ne farmaya in dono par Azaab ho raha hai lekin kisi bade gunah ki wajah se nahi balqi ek to peshab se ehtiyat nahi karta tha aur dusra chugal khor tha Fir Aap ﷺ ne hari shaakh li aur iske do tukde kar ke ek-ek qabr par rakh diye logo ne arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ. Aap ne Aisa kyu kiya ? Farmaya jab tak sukhegi nahi shayad azaab mein aasani ho .

📕 »» Bukhari Shareef, Safa 35


Is Hadees Se bakhoobi ye baate maloom ho gai ~

1). Rasoolullah ﷺ ki nigahe aqdas ke liye qabr ke upar ki mitti waghairah aad nahi hoti aur qabr ke andar upar se hi mulahiza farma lete hai.

2). Qabr me Dafn huye logo ki zindagi ke haalaat bhi Aap ﷺ ke peshe nazar rahte hai ki kis ne
kya kiya aur kis wajah se is par azaab ho raha hai.

Chhupa Rahe Hai Lagataar Wo Mere Aebon Ko,
Main Kis Qadar Hoon Kameena Huzoor ﷺ Jaante Hai .

___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html