____________________________________

02. Imam Malik Radi Allahu Anhu (Born 90 to 179 Hizri) :

Khalifa Abu Jafar Mansoor Madina Sharif Tashreef Laaye Aur Inhone Imam Malik رضي الله عنها Se Sawal Kiya ki Mai Dua Mangte wakt apna rukh Kaabe Ki taraf rakhu ya phir Nabi e kareem ﷺ Ke ROZA E MUBARAK ki taraf ?

Is par Imam Malik رضي الله عنها Ne Kaha Ki Tum Nabi e kareem ﷺ ki taraf Rukh Karlo kyu ke yehi hamare Zariya hai.

Aakhirat me Shafaa’t Ka Nabi ﷺ ka Waseela abhi talab karo taaki aakhirat me bhi hume inka waseela mile.

📜 (Qazi Al Ayaz ne Sahi Sanad se ASH SHIFA Vol : 2, Pg : 596)
(IMAM Taqyudin Subki ne Shifa Us Siqam Fi Ziyaratil Khar Il Anam)

📜 (Imam Samhudi ne Khulasat Ul Wafa)
(Imam Qastalani ne Al Mawahibul Laduniyyah)

📜 (Ibn Jamaah Ne Hidayat Us Salik)
(Ibn Hajar Haythami ne Al Jawarul Munazzam)

Aaj hum Sunni Roza E Rasool ﷺ ke Saamne haath uthake dua karle to hume Mushrik hone ka
fatwa wahabi dete hai kya fatwa denge wahabi Imam Malik رضي الله عنها par Qazi Al Aayaz رحمة الله عليه​ par ??

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Other Part-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/waseela.html