___________________________________
〽️ Masnavi Sharif Me Sher Se Mutalliq Kuchh Sabaq Aamez Riwaytein Darj Hain Unme Se Kuchh Ka Tazkira Yahan Karta Hoon ~
✳️ SHER AUR KHARGOSH : Ek Jungle Me Ek Sher Ke Tamam Jaanwaro Ko Hukm Diya Ki Tum Rozana Parchi Nikalo Aur Jiske Naam Ki Parchi Aa Jaye To Wo Khud Hi Mere Paas Aa Jaaye Taaki Main Use Khakar Apni Bhook Mitaun Aur Uske Alawa Kisi Aur Ko Pareshan Na Karun Saare Jaanwar Ispar Raazi Ho Gaye.
Ek Din Ek Chalaak Khargosh Ka Naam Nikal Aaya Pahle To Usne Jaane Me Aanakaani Ki Magar Jab Doosre Jaanwaro Ne Tambih Ki To Wo Jaane Ko Taiyar Ho Gaya, Wo Kuchh Deir Se Sher Ke Paas Pahuncha Sher Ne Gusse Me Usse Deir Se Aane Ki Wajah Poochhi To Kahne Laga Ki Huzoor Main Aur Mera Bhai Dono Aapke Paas Aane Ko Nikle Hi The Ki Raaste Me Ek Aur Sher Mil Gaya Aur Usne Mere Bhai Ko Rok Liya Main Jaan Bacha Kar Aapke Paas Aaya Hoon.
Sher Ne Jab Ye Suna To Maare Gusse Ke Kahne Laga Ki Mujhe Uske Paas Le Chalo To Khargosh Use Lekar Ek Kunwe Ki Munder Par Aaya Aur Kaha Ki Wo Dekhiye Wo Isme Ghusa Baitha Hai Aur Mera Bhai Bhi Hai, Jab Sher Ne Kunwe Me Jhaanka To Uska Aks Aur Khargosh Ka Aks Usme Nazar Aaya To Usne Kunwe Me Chhalang Laga Di Aur Doobkar Mar Gaya, Khargosh Apni Aqlmandi Se Apni Jaan Bachakar Waapas Aa Gaya.
🌹 Sabaq- Isse Do Sabaq Milte Hain Pahla To Ye Ki Agar Che Musibat Sar Par Hi Kyun Na Aa Jaaye Magar Apni Tadbeer Insaan Ko Nahin Chhodni Chahiye Aur Koshish Karte Rahna Chahiye Aur Doosri Ye Ki Jis Tarah Sher Ne Apne Aks Ko Doosra Samajh Kar Use Nuksaan Pahunchane Ki Garz Se Hamla Kiya Aur Khud Hi Nuksaan Uthaya Usi Tarah Ek Musalman Ka Apne Musalman Bhai Ko Nuksaan Pahunchana Dar Asal Usko Nahin Balki Khud Ko Hi Nuksaan Pahunchana Hai Jiski Keemat Use Aakhirat Me Chukani Hogi.
🔆 SHER AUR LOMDI : Ek Sher Boodha Ho Gaya To Ek Gufa Me Ruposh Ho Gaya Jab Kuchh Din Uska Aatank Nahin Dikha To Jaanwar Uski Taraf Se Mutmayin Ho Gaye, Ek Roz Uski Bimari Ki Khabar Jungle Me Phail Gayi To Jaanwar Uski Iyadat Ko Gufa Me Jaane Lage Magar Jo Bhi Jaata Wo Waapas Na Aata,Phir Ek Lomdi Wahan Pahunchi Aur Baahar Se Hi Sher Ki Haal Khairiyat Poochhi To Sher Ne Andar Aane Ko Kaha To Wo Boli Ki Mujhe Lagta Hai Ki Aapki Khairiyat Baahar Se Poochhne Me Aafiyat Hai Kyunki Main Jaanwaro Ke Andar Jaane Ke Qadmo Ke Nishaan To Dekh Rahi Hoon Magar Baahar Aane Ka Koi Nishan Nahin Hai
🌹Sabaq- Door Andeshi Se Kaam Lena Hamesha Faaydemand Hota Hai.
✳️ SHER AUR BHED : Ek Bhed Chhat Par Chadhkar Neeche Se Guzarte Hue Sher Ko Gaaliyan
Dene Lagi To Sher Bola Ki Teri Kya Majaal Ki Tu Mujhe Gaaliyan De Bas Ye Chhat Par Chadhkar Tu Bebaak Ho Gayi Hai
🌹Sabaq- Waise Hi Kuchh Kamzarf Log Apni Post Aur Ohde Ko Paakar Apne Se Aala Ko Gaaliyan Dete Pareshan Karte Hain Magar Ye Unki Taaqat Nahin Balki Sirf Aur Sirf Unka Ohda Hai, Iski Jeeti Jaagti Misaal Aaj Musalmano Ke Haal Se Li Ja Sakti Hai Ki Aaj Poori Duniya Me Har Koi Sirf Musalmano Ko Aankh Dikha Raha Hai Dara Raha Hai Maar Raha Hai Halaanki Duniya Daar Iski Qudrat Nahin Rakhte Hain Magar Kya Karen Bas Wahi Ohde Par Faayaz Hone Se Wo Bebaak Ho Gaye Hain.
📕 Ajaybul Haiwanat, Safah 151-156
END.........🔚🔚🔚
--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ Naushad Ahmad Zeb Razvi (Zebnews)
📌 Click Here For Relative Post-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/sher-roman.html