___________________________________
✔ Hadees No. 24
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki Jab Khaibar Fatah hua to Huzoor ﷺ ki khidmat mein zaher mila hua bakri ka gosht pesh kiya gaya.
Aap ﷺ ne Irshaad farmaya yahan jo yahoodi hai unhe mere Paas laao to unhe jama kar diya gaya Huzoor ﷺ ne unse farmaya Agar Main kuch pucchu to mujhe sach bataoge Unhone kaha Haan Ae Abul Qasim ! Huzoor ﷺ ne puccha tum kiski aulad ho ? Unhone kaha hum falan ki Aulad hain. Aap ﷺ ne irshad farmaya tum Jhoot bolte ho tum falan ki Aulad ho to kehne lage Aap sach kehte hai aur accha kehte hain.
Fir Huzoor ﷺ ne farmaya agar main tum se kuch puchu to tum sahi bataoge ? Bole Haan agar hum galat bolenge to Aap (Apne Ilme Gaib ) se jaan lenge Jaise hamare baap daada ke baare mein jaan liya. Farmaya Dozakh mein Tum Jaoge ya Hum ? Kehne lage Hum thode din ke liye jayenge fir hamare baad Aap isme rahoge Huzoor ﷺ Farmaya tum hi isme Zaleel hone wale ho aur Hum Isme kabhi tumhari jagah nahi jayenge.
Fir Aap ﷺ ne irshad farmaya Agar main tumse koi baat pucchu to to Sahi bataoge ? Bole haan. Huzoor ﷺ ne irshad farmaya kya tumne is bakri mein zaher milaya ? Kehne lage haan milaya Aap ﷺ ne farmaya aisa tumne kyu kiya ? Bole humne ye iraada kiya ki agar Aap jhoote Nabi hai to humko Aap se Najaat mil jayegi aur Agar Aap Sacche hai to Ye zehar Aap ko Nuqsan Nahi pahuchayega.
📕 »» Bukhari Jild 2,Safa 859
📕 »» Mishkat, Safa 543
➡
Is Hadees se maloom hua ki Allah Ta'ala ne Rasoolullah ﷺ ko gaib ka ilm
ataa farmaya hai isi liye Aap ﷺ bakri mein zaher ko jaan liya aur in
logo ne Aap ﷺ ka imtihaan lene ke liye Apne Baap ka Naam galat bataya to
wo bhi Aap ﷺ ne jaan liya Aur sahi Naam bata diya aur In Yahoodiyon ko
bhi Aap ﷺ ki Sacchayi aur Ilme Gaib par yakeen tha isi liye un logon
ne kaha ki Agar Hum Jhoot bolnege to Aap jaan jayenge.
✳️ Yahoodiyon ko Huzoor ﷺ ke ilme Gaib par itna pakka yaqeen tha lekin Afsos Aaj ke Naam nihaad muslaman bad aqeeda log aetraz karte hai Allah aese Imaan ke luteron se hamari hifazat farmaye. Ameen.......
___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html
✳️ Yahoodiyon ko Huzoor ﷺ ke ilme Gaib par itna pakka yaqeen tha lekin Afsos Aaj ke Naam nihaad muslaman bad aqeeda log aetraz karte hai Allah aese Imaan ke luteron se hamari hifazat farmaye. Ameen.......
___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html