____________________________________

25. Hazrat Khwaja Muhammad Nizamuddin Auliya رحمة الله عليه​ (Al Mutawaffa 725 Hizri) :

Aap Ne Farmaya Ki Maulana Katheli Ne Mujh Se Bayan Kiya Ki Dilli Me Ek Saal Kahat Padaa. Mai Kirbasi Bazaar Se Gujar Raha Tha Aur Bhukha Tha. Maine Khana Kharida Aur Khud Se Kaha Ki Is Khane Ko Tanha Nahi Khana Chahiye. Kisi Ko Bulakar Khane Me Usko Bhi Sharik Karoo.

🌺Ek Kamali (Chadar) Wale Fakir Ko Maine Dekha Jo Gudrhi Pahene Huye Mere Samne Se Gujar Raha Tha. Maine Usse Kaha Ki Aye Mere Khwaja! Mai Darvesh (Fakir) Hun Aur Tum Bhi Darvesh (Fakir) Ho Aur Mai Garib Hun Aur Tum Bhi Garib Dikhayee Dete Ho. Kuch Khana Maujud Hai Aao Milkar Khayen. Wah Darvesh Razi Huwe. Hum Nanbai Ki Dukan Ke Upar Gaye Aur Khana Khaye.

Is Dauran Mai Us Darvesh Ki Taraf Mutawajjah Huaa Aur Kaha Aye Khwaja! Mujh Par Bis Rupeeya Karz Ho Gaya Hai Mera Wah Karz Adaa Hona Chahiye. Us Darvesh Ne Kaha Tum Aaram Se Khana Khao. Mai Bis Rupya Tum Ko Deta Hoo. Maulana Katheli Ne Kaha Ki Mere Dil Me Aaya Ki Is Fate Haal Shakhs Ke Paas Bis Rupya Kaha Se Honge. Jo Mujh Ko Dega. Algarz Jab Khana Khaa Chuke Wah Uthe Aur Apne Sath Mujh Ko Le Chale.

🌺Wah Masjid Ki Taraf Gaye. Masjid Me Ek Qabr Thi Uske Sarhane Khade Hokar Unhone Kuchh Manga. Aur Ek Chhoti Lakdi Unke Hath Me Thi Aahista Se Usko Dobara Qabr Par Mara Aur Kaha Is Darvesh Ko Bis Rupye Ki Jarurat Hai Isko Do Yah Kaha Aur Meri Taraf Muh Kar Ke Mujh Se Kaha Maulana ! Wapas Jao Bas Aap Ko Bis Rupye Mil Jayenge.

🌼Maulana Katheli Ne Kaha Jab Maine Yah Baat Suni Us Darvesh (Fakir) Ka Hath Chuma Aur Un Se Juda Ho Kar Shahar Ki Taraf Chal Padaa. Mai Us Waqt Hairat Me Tha Ki Wah Bis Rupye Mujhko Kaha Se Mil Jayenge. Mere Paas Ek Khat Tha Jo Kisi Ke Ghar Par Mujhe Dena Tha. Us Din Wah Khat Lekar Darwaje Kamaal Pahuncha. Ek Turk Apne Ghar Ke Chhajje Par Baithha Tha.

Us Ne Mujh Ko Dekha Aur Aawaz Di Aur Apne Gulamo Ko Daudaya Wah Mujhe Puri Koshish Se
Upar Legayen. Us Turk Ne Mujhe Bahut Khush Kiya. Maine Har Chand Koshish Ki Magar Us Ko Nahi Pahchan Saka. Wah Turk Yahi Kahta Kya Tum Wah Akalmand Nahi Ho Jis Ne Falaa Jagah Mere Sath Bahut Neki Ki Thi. Maine Usse Kaha Mai Tum Ko Nahi Pahchanta. Usne Kaha Mai Tumko Pahchanta Hun. Khud Ko Kyun Chhupate Ho. Algarz Is Kism Ki Bahut Si Baate Ki. Uske Baad Bis Rupye Laaya Aur Badi Guzarish Ke Sath Mere Hath Me De Diya.

📜(Fawaaidul Fawaad Majlis 21 Pg.124)

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Other Part-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/waseela.html