___________________________________
◼️ Har Nasha Aawar Cheez Haraam Hai Aur Har Tarah Ki Sharab Haraam Hai.
📕 Muslim, Jild 2, Safah 168
◻️ Jis Cheez Ki Kasrat Nasha De Uska Thoda Hissa Bhi Haraam Hai Agar Che Utne Se Nasha Na Ho.
📕 Attamheed, Jild 1, Safah 252
◼️ Jo Duniya Me Sharab Peeta Hai Wo Jannat Me Usse Mahroom Rahega
📕 Bukhari, Jild 2, Safah 836
Beshak Jannat Me Sharab Hogi Magar Aesi Nahin Jaisi Ki Hum Duniya Me Dekhte Hain Ki Idhar Halaq Se Neeche Utri Aur Udhar Aadmi Insaan Se Jaanwar Bana Nahin Balki Wahan Ki Sharab Ke Baare Me Khud Maula Farmata Hai ~
Unpar Daura Hoga Nigah Ke Saamne Bahti Sharab Ke Jaam Ka. Safed Rang Peene Waalon Ke Liye Lazzat. Na Usme Khumaar Hai Aur Na Usse Unka Sar Phire.
📕 Paara 23, Surah Saaffat, Aayat 45--47
Wo Jaam Jisme Na Behudgi Hai Aur Na Gunahgari.
📕 Paara 27, Surah Toor, Aayat 23
Aur Unhein Unke Rub Ne Suthri Sharab Pilayi.
📕 Paara 29, Surah Dahar, Aayat 21
Ye Hogi Jannat Ki Sharab Jiske Peene Se Na To Nasha Hoga Aur Na Peit Me Dard Hoga Na Insaan Bahkega Aur Na Gaali Galauch Ki Naubat Aayegi Balki Iske Peene Se Mushk Ki Tarah Khushbudar Pasina Niklega, Aaiye Ab Duniya Ki Sharab Par Wapas Lautte Hain.
◼️ Sharab Ka Aadi But Parast Ki Tarah Hai.
📕 Musnad Ahmad, Jild 1, Safah 272
Teen Aadmi Jannat Me Nahin Jayenge ~
1). Maa-Baap Ka Nafarmaan.
2). Aadi Sharabi.
3). Dayyus Yaani Wo Jiski Biwi Beparda Ghoomti Ho Aur Ye Mana Na Karta Ho.
📕 Majmauz Zawayed, Jild 4, Safah 327
📕 Nisayi, Jild 2, Safah 331
◼️ Jo Sharab Peeta Hai Maula Uska Koi Amal Qubool Nahin Karta Na Namaz Aur Na Koi Dua.
📕 Kanzul Ummal, Jild 5, Safah 365
◻️ Chor Jab Chori Karta Hai To Wo Momin Nahin Rahta, Zaani Jab Zina Karta Hai To Wo Momin Nahin Rahta, Sharabi Jab Sharab Peeta Hai To Wo Momin Nahin Rahta.
📕 Bukhari, Jild 2, Safah 1001
Yaani Agar Ye Kaam Jayaz Samajhkar Kiya To Imaan Se Mahroom Ho Jaata Hai
◼️ Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Irshad Farmate Hain Ki Mere Rub Ne Apni Izzat Ki Kasam Khaayi Hai Ki Jo Koi Duniya Me Jitne Ghoont Sharab Ka Piyega To Main Use Utna Hi Jahannam Ka Khaulta Paani Pilaunga.
📕 Tibraani, Jild 8, Safah 232
Agar Ye Paani "HAMEEM" Hoga To Iske Baare Me Aata Hai Jaise Hi Ye Munh Ke Qareeb Aayega Insaan Ke Chehre Ki Khaal Gal Kar Isme Gir Jayegi Aur Jab Wo Ise Piyega To Wo Paani Aant Ko Kaatta Hua Peechhe Ke Maqaam Se Nikal Jayega Aur Agar Ye Paani "GASSAK" Hoga To Iske Baare Me Aata Hai Ki Agar Iska Ek Dol Duniya Me Daal Diya Jaaye To Poori Duniya Waale Sad
Jaayein, Baharhaal Jahannam Aur Jahannam Ki Tamam Cheezein Behad Taqleef Deh Hai Maula Apne Habeeb Ke Sadqe Me Tamam Musalmano Ko Ek Aan Ke Liye Bhi Jahannam Me Daakhil Na Kare- Aameen
◼️ Sharab Peene Waale, Pilaane, Banaane Waale, Bechne Waale, Le Jaane Waale, Uski Keemat Khaane Waale Sab Par ALLAH Ki Laanat Hai.
📕 Almustadrak, Jild 4, Safah 145
◻️ Sharabi Ko Salaam Na Karo Aur Jab Wo Beemar Ho Jaaye To Uski Iyadat Na Karo.
📕 Bukhari, Jild 2, Safah 925
◼️ Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Irshad Farmate Hain Ki Beshak ALLAH Ne Usme Shifa Nahin Rakhi Hai Jo Meri Ummat Par Haraam Ki Gayi Ho.
📕 Tafseere Qurtabi, Jild 2, Safah 231
◻️ Sharab Se Bacho Ki Ye Tamam Burayion Ki Jad Hai.
📕 Kashful Khufa, Jild 1, Safah 459
--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ Naushad Ahmad Zeb Razvi (Zebnews)
📌 Click Here For Relative Post-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/sharab-noshi-roman.html