____________________________________

04. Imam Abu Abdullah Imam Waqidi (Born 130 to 207 Hizri) :

Islam ki Tareekhi aur Mas'hoor Jung e Yarmook pe Fateh paane ke liye Sahaba e Kiram رضوان الله اجمعين ka Huzoor E Akram ﷺ ka Waseela “Ameerul Momineen Farooque e Aazam رضي الله عنه ne ek khat Hazrat Abdullah bin Karaa’t رضي الله عنه ke haath Hazrat Abu Ubaida ibn Jarrah رضي الله عنه ke pass bheja.

🌺Hazrat Abdullah bin Karaa’t رضي الله عنه Roza e Rasool par Jaane se pehle Hazir Hue waha Ummol Momineen Hazrat Ayesha Siddika, Hazrat Abbas Wa Hazrat Ali Wa Hazrat Imam Hasan Wa Hazrat Imam Hussain رضوان الله اجمعين hazir the Hazrat Abdullah bin Karaa’t رضي الله عنه ne unse Jung E Yarmook pe fateh paane ke liye dua karne ko kaha Hazrat Ali Wa Hazrat Abbas رضي الله عنه ne Haath uthake dua Maangi -

“YA ALLAH Hum Us Nabi E Mustafa ﷺ Aur Rasool E Mustafa ﷺ jinke Waseele se Aadam عليه السلام ki dua kabool hogayi aur Allah ne unhe maaf farma diya inhi ke waseele se dua karte hai ki tu Hazrat Abdullah bin Karaa’t رضي الله عنه ke raste ko aasan farma aur door ko nazdik karde aur apne Nabi ﷺ ke as'haab ki madad ata farma aur unko fateh ata farma.

🌺Iske Baad Hazrat Ali رضي الله عنه ne Hazrat Abdullah bin Karaa’t رضي الله عنه se farmaya ki ab aap
jaaye Allah Taa’la Ummol Momineen Hazrat Ayesha Siddika, Hazrat Abbas, Hazrat Imam Hasan, Hazrat Imam Hussain رضوان الله اجمعين ki dua ko raddh nahi farmayga in logo ne Allah ki bargaah me us Nabi ﷺ Ka waseela pakda hai jo AKRAMUL KHALK hain”

📜(Imam Wakdi ne Futuhaat-e-Sham Jild 01, Pg : 105)

✳️ Hai koi wahabi jo lagaye sahaba e Kiram pe fatwa Imaam Wakdi رضي الله عنه pe fatwa.

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Other Part-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/waseela.html