___________________________________
Hadees No.16

Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se marvi hai ki ek baar Hazrate Umar رضي الله عنه ne jehaad ke liye ek lashkar bheja aur uska Ameer Saariya Naam ke ek sahab ko banaya to jis waqt Hazrat Umar رضي الله عنه Masjide Nabawi Shareef mein khutba de rahe the to Zor Se farmaya Ae Saariya Pahaad ! Fir lashkar se ek kaasid aaya aur usne arz kiya Ae Ameerul Momineen hum jung kar rahe the aur dushman ne hum ko shikast dedi thi ki humne suna koi buland aawaz se keh raha tha Ae Saariya Pahaad ! Fir humne pahad ko apne piche lekar jung kee, yahan tak ki dushman ko shikast dedi.

📕 »» Mishkat, Babul Karamat, Safa 546


Yaani Hazrat Umar رضي الله عنه Madeena Tayyabah mein Masjide Nabawi Shareef ke andar khutba dete huye Hazaaro Meel par waaqe Nahawand mein maidane jung ko mulahiza farma rahe the aur Ye Hazrate Umar رضي الله عنه Huzoor ﷺ ke sahabi hai to jab Huzoor ﷺ ke gulamo ke
Ilme Gaib ka ye haal hai to khud Huzoor ﷺ ke Ilme Gaib ka Aalam kya hoga ?

Chahe To Ishaaro Se Apni Kaaya Hi Palat De Duniya Ki,
Ye Shaan Hain Unke Gulamo Ki To Sarkar ﷺ Ka Aalam Kya Hoga.

___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html