___________________________________
Hadees No. 9

Hazrate Sauban رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Irshad farmaya ki Allah Ta'ala ne mere liye saari roo _e_ zameen ko ikattha farma diya to maine zameen ke saare purab aur saare paschim dekh liye aur mujhko do khazane ata farmaye gaye ek surkh aur dusra safed.

📕 »» Sahih Muslim Jild 2, Safa 390


Hadees No. 10

Hazrate Abu Zar Gifari رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya main wo dekhta hu jo tum nahi dekhte aur main wo sunta hu jo tum nahi sunte.

📕 »» Tirmizi Jild 2, Safa 55


Hadees No. 11
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها farmati hai ki Rasoolullah ﷺ wo dekhte the jo main nahi
dekhti thi.

📕 »» Sahih Bukhari Jild 2 Safa 915


Khuda Ko Dekha Nahi Aur Ek Maan Liya,
Ke Jaante The Sahaba Huzoor ﷺ Jaante Hai.

___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html