___________________________________
✔ Hadees No. 13
Hazrate Salma Ibne Aqwa se marvi hai ki Junge Khaibar ke mouqa par Hazrate Ali رضي الله عنه Rasoolullah ﷺ ke sath lashkar mein Aankh dukh jane ki wajah se shareeq na ho sake the to Hazrate Ali رضي الله عنه ne farmaya ki main Huzoor ﷺ ke sath lashkar mein shaamil hone se rah gaya fir Aap nikle Yahan tak ki Huzoor ﷺ ke sath fouj mein shaamil ho gaye. Raawi kahte hain ke idhar lashkar mein jis subah ko khaibar fatah hona tha isse pehle shaam ko Rasoolullah ﷺ ne apne As-haab mein farmaya ki kal main ye jhanda ek aise shakhs ko dunga Allah Wa Rasool jisko dost rakhte hai ya jo Allah wa Rasool ko dost rakhta hai .Allah Ta'ala uske hath par jung mein fatah naseeb farmayega, farmaate hai ki achanak hamari mulaqat Hazrate Ali رضي الله عنه se hui halanqi hame inki aane ki koi ummeed na thi fir Rasoolullah ﷺ ne jhanda inhe ataa farmaya aur Allah Ta'ala ne inke haatho par fatah Naseeb farmayi.
📕 »» Sahih Bukhari Jild 1, safa 525
📕 »» Sahih Muslim Jild 2, Safa 278
➡ Maloom ye chala ki ~
1). Huzoor ﷺ ba-ataa _e_ Ilahi jaante the ki sawere ko Qila _e_ Khaibar fatah ho jayega.
2). Aap ﷺ ye bhi jaante the ki Hazrate Ali رضي الله عنه jo lashkar mein shaamil hone
se rah gaye hai wo aayenge aur ye fatah inhi ke haath par hogi.
Ye Khud Shaheed Hain Bete Nawase Pote Shaheed,
Ali Ki Shaan _E_ Yagana Huzoor ﷺ Jaante Hain.
___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html