____________________________________
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ
____________________________________
✳ ALLAH TABRAK WA TA’ALA ne insaan ko isliye paida kiya ki wo duniya mein uski ibaadat kare aur ek muqarrar waqt ke liye usko duniya mein bheja hai wo waqt guzaar kar usey apne khaaliq_e_haqeeqi se milna hai.
❇ Marne ke baad insaan ke amaal munqata hojaate hain, jab tak uske jism mein rooh thi usey har kaam par qudrat thi magar jaise hi rooh jism se nikal jaayegi usey ek SUBHAN ALLAH bhi kahne ka mauqa nahi milega.
✳ Marne ke baad usne jo nek amaal is duniya mein kiye wahi uske kaam aayenge aur kuch kaam na aayega magar 3 cheeze aesi hain jo usey marne ke baad bhi kaam aayegi ~
1). Sadqa e Jariya
2). Aesa ilm jis se nafa haasil hota ho.
3). Aur neyk aolaad jo uske liye DUA karey.
❇ Hazrat Anas رضي الله عنه se marwi hai ki wo HUZOOR NABI KAREEM Sallallahu Alaihiwasallam se riwayat karte hain ki meri ummat marhooma hai qabro mein maa gunahon ke daakhil hogi aur unse be gunah niklegi ki musalmano ke isteghaar se unko gunahon se paak kardiya
jaayega.
📙 (SHARAH US SUDOOR)
⚠ Is riwayat se malum hua ki kisi mayyat ko agar QURAN E PAAK padh kar ya isteghfaar wagaira karke ESAAL E SAWAB kiya jaaye aur fateha padhi jaaye to use marne waale ko fayeda pahunchta hai.
⛔ Magar baaz fateha ke munkir ye kahte hain ki marne ke baad marne waale ke liye fateha padhkar ESAAL nahi karna chahiye isse usko koi fayeda nahi pahunchta marne ke baad insan mar mit jaata hai, usko na siyum na chahlum wagaira kisi ka ESAAL E SAWAB koi fayeda nahi pahunchata aise log goya zabaan e haal se ye kehte hain ki MARGAYA MARDOOD NA FATEHA NA DUROOD
--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group
📌 Click Here For Other Part-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/saboot-fateha.html