____________________________________
FATEHA surah ka naam hai lekin chunki mayyat ke liye jab koi dua e khair ya khairaat ki jaati hai isme amuman surah fateha padhi jaati hai isiliye isey har tabqe mein fateha kaha jaane laga.

✳ Isiliye mukhalifeen ka ye sawaal hai ki fateha to bid’at hai aur ye ek rasam hai, in bewakufo ko kaun samjhaaye ki mayyat ko sawaab pahunchaane ka naam fateha hai aur uske tum bhi munkir nahi haan HUZOOR SARWAR E AALAM ke zamana e aqdas mein iska naam ESAAL E SAWAAB tha.

Aur ab hum usey kabhi fateha, kabhi suwam, kabhi chahlam, daham aur kabhi saaliyana
wagaira ke naam se maosoom karte hain aur SHARIAT ka qaeda hai ki naam badalne se kaam nahi bigadta.

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Other Part-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/saboot-fateha.html