FATEHA KE MUTALLIQ AHLE SUNNAT KA MAOQAF
AHLE SUNNAT ke nazdeek badani aur maali ibaadaat ka sawab doosre musalmano ko bakhashna jaayez hai, jiska saboot QURAN O HADEES aur aqwaal e fuqaha se hai.

✳ Masla quran e kareem ne musalmano ko ek dusre k liye dua karne ka hukum diya, namaz e janaza ada ki jaati hai aur mishkaat baab fasal ul sadqa mein hai k hazrat saad ne kuwaan khudwakar farmaya ye saad ka kuwaan hai.

Fuqaha ne esaal e sawab ka hukum diya, haan badani ibaadat mein nihayat jaayez nahi yaani koi shaks kisi ki namaz farz padh de to uski namaz ada na hogi haan namaz ka sawab bakhsha jaa sakta hai.

❇ Kyunke isme deobandi, wahabi ke kisi bhi muslim peshwa ko ikhtelaaf nahi aur ye sawab jaese zindo ko bakhsha (ata kiya) jaa sakta hai murdo ko bhi bakhsha jaa sakta hai aur wo sawaab unhey pahunch bhi jaata hai uska naam ESAAL E SAWAB hai.

Isme siwaaye ma’tazila ke saabeq daur mein kisi ko bhi ikhtelaaf na tha aur ab bhi
deobandi, wahabi ka koi bhi ahle ilm lafzan uska munkir nahi lekin chunke unhey IBNE ABDUL WAHAB NAJDI ki pairwi ma’tazila ke usool o aqaed ko zinda karna hai isliye uske harbe istemaal karte hain.

✳ Tajruba karke dekhlo ki hamare AHLE SUNNAT ke un tamaam murawaja masael par mukhtalif tareeqo se sawalat uthayenge jiski tafseel aagey aayegi, In Sha ALLAH.

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Other Part-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/saboot-fateha.html