___________________________________

Imame Ahle Sunnat Imam Ahmed Raza Khan Muhaddise Bareily Alaihir Rahma Se Qabron Par Charaagh Jalaane Ke Baare Mein Sawaal Kiya Gaya To Sheikh Abdul Ghani Naablusi Alaihir Rahma Ki Tasneef "Hadeeqah Nadiya" Ke Hawaale Se Tehreer Farmaaya Ke Qabro'n Ki Taraf Shama' Le Jaana Bid'at Aur Maal Ka Zaaye Karna Hai (Agarche Qabr Ke Qareeb Tilawat-E-Qur'an Ke Liye Mom-Batii Jalaane Mein Harj Nahi, Magar Qabr Se Hat Kar Ho).

📕»» Albareequl-Manaar Bashamu Al-Mazaar, Pg: 9, Lahore

Is Ke Baad Muhaddise Bareily Alaihir Rahma Farmaate Hain: Ye Sab Is Soorat Mein Hai Ke Bilkul Faaide Se Khaali Ho Aur Agar Shama Roshan Karne Mein Faaida Ho Ke Mauqa-E-Quboor Mein
Masjid Hai Ya Quboor Sare-Raah Hain, Waha'n Koyi Shakhs Baitha Hai To Yeh Amr Jaayiz Hai.

📕»» Albreequl-Manaar Bashmu Al-Mazaar, Pg: 9, Lahore

Ek Aur Jagah Isi Qism Ke Ek Sawaal Ke Jawaab Mein Farmaate Hain: Asl Yeh Ke Aamaal Ka Madaar Niyat Par Hai. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Farmaate Hain Amal Ka Daar-O-Madaar Niyat Par Hai Aur Jo Kaam Deeni Faaide Aur Dunyawi Nafa' Jaayiz Dono'n Se Khaali Ho Abas (Bekaar) Hai Aur Abas Khud Makrooh Hai Aur Is Mein Maal Sarf Karna Israaf Hai Aur Israaf Haraam Hai.

Aur Muslamaano'n Ko Nafa' Pahonchaana Bila-Shubha Mehboob Shaare' Hai.

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Farmaate Hain Ke Tum Mein Jis Se Ho Sake Ke Apne Bhaai Ko Nafa' Pahunchaaye To Pahunchaaye.

📕»» Ahkaam-E-Sharat, Hissa 1, Pg: 38

___________________________________
🖌Post Credit -  Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/bidaat-ke-khilaaf-fatwe.html