___________________________________

Sawaal:  Kya Farmaate Hain Ulama-E-Deen Is Mas'la Mein Ke Aath Muharramul Haraam Ko Rawafiz (Shiya) Jareeda Uthaate Hain, Gasht Ke Waqt Un Ko Agar Koi Ahle Sunnat O Jama'at Sharbat ki Sabeel Laga Kar Sharbat Pilaaye Ya Un Ko Chaai, Biscuit Ya Khaana Khilaye Aur Un Ko Shamol Mein Kuch Ahle Sunnat O Jamaat Bhi Ho'n Aur Khaayein Piyein To Yeh Fe'l Kaisa Hai Aur Is Sabeel Waghaira Mein Chanda Dena Kaisa Hai❓

Jawaab:  Imame Ahle Sunnat Imam Abmed Raza Khan Muhaddise Bareily Alaihir Rahmah Farmaate Hain Ke Yeh Sabeel Aur Khaana, Chaai, Biscuit Ke Raafziyo'n (Shiya) Ke Majma' (Bheed) Ke Liye Kiye Jaayein Jo Tabarra Aur La'nat Ka Majma' Hai, Najaaiz O Gunaah Hain Aur In Mein
Chanda Dena Gunaah Hai Aur In Mein Shaamil Hone Waalo'n Ka Hashr Bhi Inhi'n Ke Saath Hoga.

📕»» (Fataawa Rizviya Jadeed, Jild: 21, Pg: 246, Raza Foundation Lahore)

___________________________________
🖌Post Credit -  Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/bidaat-ke-khilaaf-fatwe.html