___________________________________

"TAQLEED ZAMANAE SAHABA SE"

🌟 Zamanae Sahaba Me 2no TAQLIDON Ka Riwaj Tha TAQLEEDE MUTLAQ Aur TAQLEEDE SHAKHSI Ka.

Jo Sahaba ILME Deen Ke Hasil Karne Me WAQT Nahi De Pate The Ya Kisi Khas Masle Me Apne Ijtehad Se Faisla Nahi Kar Pate The Wo Dusre FUQHA Sahaba Se Pooch Kar Amal Karte The.

Magar Wo Gair Muqallideen Ki Tarah Khud Quran Hadees Se Masle Nahi Nikalte Na Aam Logo Se Kehte Ki Tum Khud Se Quran Hadees Samjho.

Taqleed Ki Roshan Daleel Sahaba se -

Hazrat Ibane Abbas (Radi Allahu Anhu) Farmate Hain Ki Hazrat Umar (Radi Allahu Anhu) Ne Jabiyah Ke MAQAM Par Khutba Diya Aur Farmaya, Aye Logon Jo Quran Ke Bare Me Janna Chahen Wo Ubbai Bin Ka'ab Ke Pas Jaye, Jo Meeraas Ke Ahkam Janna Chahen Wo Zaid Bin Sabit
Ke Pas Jaye, Jo FIQAH Ke Bare Me Janna Chahe Wo Muaaz Bin Jabal Ke Pas Jaye, Aur Koi Maale Ganimat Ke Bare Me Janna Chahe To Mere Pas Aaye.

📕»» {ذکرہ ابن ابی حاتم فی الجرح والتعدیل. جلد-۱، قسم-۱، صفحہ-۱۱۱}

Kya Hazrat Umar (Radi Allahu Anhu) Ke Is Farman Me Aam Sahaba Ko Ulma Sahab Ki Taqleed Ka Saaf Saaf Hukm Nahi???

Kya Hazrat Umar (Radi Allahu Anhu) Ne Ye Kaha Aye Logo Quran, Fiqah, Miras, Male Ganimat Ka Hukm Janne Ke Liye Khud Quran Hadees Se Masla Pata Karo?

Jab Sahaba Is Baat Ke Paband Kiye Gaye Ki Wo Quran Hadees Se Masla Janne Ke Liye Fuqha O Mujtahid Sahaba Ki Taqleed Karen To Hume Aur Ziyadah Taqleed Ka Paband Hona Chahiye, Quran Hadees Se Masla Janne Ke Liye.

___________________________________

🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html