___________________________________

⚡ Gair Muqallideen Bholi Bhaali Awam Ko Ye Keh Kar Gumrah Karte Hain Ki Imamo Ne Qurano Hadees Ke Hote Huye Qayas Kiya Aur Masle Apni AQAL Se Bayan Kiye. Ye Sarasar Ilzam Aur Bohtan Hai.

In Imamo Ne Qayas Wahan Kiya Jahan Quran O Hadees Se Masla Wazeh Nahi Tha, Tab Qayas Kiya, Agar Masla Quran Me Maujood Ho To Qayas Haram Ya Hadees Me Maujood Ho To Qayas Haram, Magar Jab Quran Ya Hadees Me Maujood To Ho Magar Uske Kai Kai Maana Ho To Imam (Aala Darje Ka Faqeeh Aur Mujtahid) Qayas Ke Zarye Sahi Maana Batata hai Aur Hum Us Masle Me Uski TAQLEED Karte Hain.

Yaad Rahe Qayas Ka Ye Haq Sirf Mujtahid Aur Aala Darje Ke Faqeeh (Deen Ki Samajh Rakhne Wale) Ko Hi hai, Har Ayre Gaire Ko Nahi, Ise Qayase Shari Kehte Hain.

🌟 Hum Gair Muqallidon Se Puchna Chahte Hain Wo Jo Logo Ko TAQLEED Se Rokte Hain Aur Kehte Hain Quran Hadees Ke Hote Huye Qayas Karna Haram Hai Aur Imamo Ne Qayas Kiya Isliye
Inki TAQLEED HARAM O Shirk Hai.

Kya Gair Muqallid Ulma Apni Awam Ko Sare Masle Quran Aur Hadees Se Hi Batate hain?

Agar Haan To Sahebaan Zara Ye Masle Hame Quran Ya Hadees Me Batayen,

1. Blood Donation (Inteqale khoon) Karna Kaisa?

2. Injection Se Roza Toot'ta Hai Ya Nahi?

3. Post Mortem (Aaza Ki Pewand Kari) Karna Kaisa?

4. Banking Loan Lena Kaisa?

5. Test Tube Baby Se Bachha Paida Ho To Halali Hai Ya Harami?

6. Phone Internet Par Nikah Ya Talaq Ka Kya Hukm Hai?

{Quran Me Dikhayen Ya Sirf Sahi Hadees Me. Qayas Se Nahi}.

Kya Ye Saare Masle Gair Muqallid Awam Ko Pesh Nahi Aate?

Aur Kya Wo Ye Sab Masle Apne Ulma Se Nahi Puchte?

Phir Is Masle Me Unke Ulma Jo Faisla Karte Hai Kya Unki Awam Nahi Maanti? Us Waqt Quran Aur Hadees Se Demands Kyu Nahi Karte?

Afos Bade Bade Aimma Ulma Qayas Kare To Shirk Aur 15 Wi Sadi Ka Jahil Mulla Qayas Se Masla Batay To Islam.

Dosto Ye Masle Haqiqatan Aise Hain Jo Quran O Hadees Se Nahi Batay Ja Sakte Balki In Maslo Me Qayas Ke Siwa Koi Chara Nahi.

Aur Yahi Nahi Aise Hazzaron Masayel Hain Jahan Quran O Hadees Ka Wazeh Hukm Nahi Hota Is Liye Qayase Shari Ke Zariye Masla Bataya Jata Hai Aur Hum In Masayel Me Jahan Quran O Sunnat Ka Wazeh Hukm Nahi Hota Hai Imamo Ki TAQLEED Karte Hain Aur Unke Batlay Huye Masayel Par Amal Karte Hain.

Gair Muqallid Ulama Sidhe Sadhe Musalmano Ko Taqlid Se Rokne Ke Liye Kuch Hadeesen Aur Quran E Kareem Ki Aayaat Pesh Karte Hain, Bhola Musalman Allah O Rasool Ka Farman Sunke Unke Jhanse Me Aata Hai.

___________________________________

🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

*📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html