___________________________________
TAQLEED Ki HAQIQAT :- Isse Ziyadah Kuch Nahi Ki 1 Shakhs Jo Quran O Sunnat Se Masle Ka Hal Nikalne Ki Salahiyat Nahi Rakhta Wo In Masayel Me Apne Imam Ki Fehmo Basirat Aur TAFAQQOH FIDD'DEEN (تفقہ فی الدین) Pe Etemad Karte Huye Unki Bataai Hui Tashrihaat Pe Amal Karta hai.
Isi Ka Naam Taqleed E Shakhsi Hai Aur Iska saboot Quran O Sunnat Ke Bahut Se Dalayel Se Sabit Hai.
Naam Ke Ahlehadis Yani Gair Muqallideen Awam Ko Ye Keh Kar Gumrah Kar Rahe Hain Ki Dekhiye Taqleed To Sirf Huzoor صلی اللہ علیہ وسلّم Ki Hone Chahiye Sahaba Ne Kis Ki TALQID Ki Huzoor Ki, Phir Aap Log Huzoor Ki Hadees Ke Hote Huye Imam Ki Baat Kyu Mante Ho? Jab Ki Imamo Ne Masle Qayas (Andaza) Se Batayen Hain.
Taqleed Sirf Huzoor Ki Hone Chahiye Kisi Imam Ya Mujtahid Ki Nahi Aur Ye Gair Muqallideen Bade Zor-O-Shor Se Ye Naare Lagate Hain Ki TAQLEEDE SHAKHSI Shirk Hai.
Hum Unhe Batana Chahte Hain AQAL Ke Dushmano Pehle Ye To Samjho Ki Hum Jiski Taqleed Karte Hain Uska Darja Hamari Nigah Me Kya Hai?
Hum Deeni Masayel Me Jis Imam Ki Pairawi Karte Hain Use Hum SHAARE (شارع) Yani Shariat Ka
Qanoon Banane Wala Samajh Ke Uski Taqleed Nahi Karte Balki Use Hum SHAREH (شارح) Yani Quran O Sunnat Ke Pechidah Masayel Jo Hamari Samajh Se Aur Bade Bade Allama Ki Samajh Se Baala Hai Unki Tabeer O Tashrih Jo Un Imamo Ne Ki Lihaza Us Masle Me Hum Unke Batlay Huye Maana Ya Masla Pe Amal Karte Hain.
Dar Asal MAQSAD Quran O Sunnat Ki Pairawi Hi Hai Magar Qurano Sunnat Ki Sahi Muraad Ko Samajhne Ke Liye Hum Apne Imam Ki Tabeer O Tashreeh Pe Etemad Karte Hain.
Aur Jo Masayel Quran O Sunnat Se Qattiyat Aur Saharat Se Sabit Hai Wahan Kisi Imam Ki TAQLEED JAYEZ Nahi Chunki Wahan ALLAH O RASOOL Ki Ita'at Ka Asal Maqsad TAQLEED Ke Baigar Hi Asani Se Haasil Ho Jata Hai.
___________________________________
🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html