___________________________________
"TAQLEEDE SHAKSI PAR ZOR KYU HAI"
Hamara TAQLIDE SHAKHSI (1 Hi Imam ki Taqlid) Par Zor Kyu hai?
Aur Hum TAQLIDE MUTLAQ (Sab Imamo Ki Taqleed) Se Kyu Mana Karte Hain?
🌟 Isme Ye Maslihat Hai Ki Insan Man Chahi Karta Hai Jise Khawahish Parasti Kehte Hain To Wo Zabardast Gumrahi Ka Shikar Hota Hai Jo Baas Awqat Use Kufr Tak Le Jati Hai.
Isi Liye Quran O Hadees Me Jagah Jagah Khabardar Kiya Gaya Ki Nafs Ke Chakkar Me Na Pado Aur Isse Bacho, Aur Jab Insan Man Chahi Pe Utarta Hai To Halal Ko Haram Aur Haram Ko Halal Kar Deta Hai.
Yani Wo Kisi Imam Ka Muqallid Nahi Rehta Balki Apne Nafs Ka MUQALLID Ho Jata hai.
Sahaba Ka Zamana Khair Ka Tha Unme Khaofe Khuda Tha Wo Huzoor Ke Sohbat Yafta The Unke Nazdeek Duniya HAQEER Chiz Thi, Is Liye Agar Wo Taqleede Mutlaq Pe Amal Karte The To Unki Niyyat Me SIDQ (Sachchai) Thi.
Magar Jaise Jaise Aslaaf Aur Ulma Duniya Se Uthne Lage, Logo Me Taqwa Ki Kami Aane Lagi Log
Apni Aasani Ke Liye Bahane Kar Ke Apni Man Chahi Karne Lage Isi Liye Ulma Aur Fuqha Ne TAQLIDE MUTLAQ Ka Darwaza Band Kar Diya Aur Logo Ko Paband Kiya Gaya Ki Wo Kisi 1 Imam Aur Mujtahid Ko Chune Aur Usi Ki Hamesha Taqleed Kare.
Agar Sab Imamo Ki TAQLEED Kee Jaye To Ye Nuqsan Hoga.
🔆 Imame Azam Abu Hanifa Ke Nazdeek Khoon Nikalne Se Wazu Toot'ta Hai Ab Sardi Ka Mausam Hai Aur Kisi Ka Khoon Nikala Aur Wazu Toota, Aur Use Wazu Banana Bhari Malum Ho Raha Hai Ab Wo Sirf Is Liye Shafai Ban Jaye Ki Imam Shafai Ke Nazdeek Khoon Nikalne Se Wazu Nahi Toot'ta, To Kya Uski Niyyat Me Khair hai?
Usne Imam Shafai Ki Taqleed To Kar Lee Magar Imam Azam Ke Nazdeek Uski Namaz Be-Wazu Maani Jayegi.
❇️ Ya Yun Samjho Imam Shafai Ka Muqallid Hai Usne Apni Aurat Ko Chhuwa (Tuch Kiya) To Imam Shafai Ke Nazdeek Uska Wazu Toot Gaya Magar Imam Abu Hanifa Ke Nazdeek Aurat Ko Chune Se Wazu Nahi Toot'ta To Ab Wo Hanfi Ban Jaye Aur Namaz PadheTo Kya Uski Namaz Hogi?
Kyu Ki Imam Shafai Ke Maslak Me To Wo Be-Wazu Tha.
Aise Shakhs Ka Apni Aasani Ke Liye Maslak Badalna Imam Badalna Sirf Apne Aasani Ke Liye Hai Allah O Rasool Ke Farmaan Pe Amal Ke Liye Nahi, Isi Liye TAQLEEDE MUTLAQ Ko Sakht Mana Kiya Gaya, Aur Khawahishe Nafsani Par Chalna Haram Qarar Diya Gaya.
🌟 HADEES KI KITAB SAHI MUSLIM SHARIF Jiska Darja Bukhari Ke Bad Sab Se Bada Hai Uske SHAAREH Allama Nowi ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ 1 Hi Imam Ki TAQLEED WAJIB Hone Ki Wajah Bayan Faramte Hain "Is TAQLIDE SHAKHI Ke Lazim Hone Ki Wajah Ye Hai Ki Agar Is Baat Ki Ijazat Ho Ki Insan Jis Mazhab Ki Chahe Pairawi Kare To Phir Log Aasaniyan Talash Kar Ke Apni Khawaish Par Amal Karege, Halal O Haram Aur Wajibo Jayez Ke Ahkam Ka Saara Ikhteyar Logo Ko Mil Jayga.
Aur Shariat Ki Pabandi Khul Jayegi, Al'batta Pehle Zamane Me Taqleede Shakhsi Is Liye Mumkin Nahi Thi Ke FIQHI MAZAHIB MUKAMMAL Taur Par Tarteeb Nahi Diye Gaye The, Aur Na Maroof O Mash'hoor The Lekin Jab 4ron Imam Ke Mazahib Maroof Huye Aur Unki Fiqah Tarteeb Dee Ja Chuki Aur Unki Kitabe Aur Unke Mazhab Ke Ulma Maujood Hain To Ab Har Shakhs Par Lazim Hai Ki Wo Kisi 1 Mazhab (Hanfi, Shafai, Malki Ya Hambali) Ko Chune Aur Usi Ke Tamam Masayel Me TAQLEED Kare.
📕»»( ﺍﻟﻤﺠﻤﻮ ﻉ ﺷﺮﺡ ﺍﻟﻤﮭﺬﺏ، ﻟﻠﻨﻮﻭﯼ، ﺟﻠﺪ- ۱،ﺻﻔﺤﮧ - ۹۱ )
___________________________________
🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html