___________________________________

✅ Hadees No.9

Hazrate Jaabir رضي الله عنه Farmate hai ki mere walid fout ho gaye aur Unke upar qarz tha to main ne Nabi-e-Kareem ﷺ ki Khidmat me Hazir hokar Arz ki mere Walid ne qarza choda hai aur mere paas dene ke liye Siwa Khujuron ke darakhton ke kuch nahi hai Aur inki paidawaar se kayi saal me qarz pura na hoga.

✨Aap mere sath tashreef le chale'n take qarz khwah sakhti wa bad goi se pesh na aaye.

Fir Huzoor ﷺ Khujuron ke dher ke ird gird phire aur Dua ki aur Dusre dher ke ird gird phire phir aap Ek dher par baith gaye aur farmaya qarz khwahon ko naap kar dete jao Yahan tak ki sab qarz
khwahon ka sara qarz ada ho gaya aur utni hi khujure bach bhi gayi.

📕»»Bukhari sharif safa 506,580,322

🌟Faqat Itna Sabab Hai Bazme In''eqad E Mehshar Ka.
💖Ke Unki Shaane Mahboobi Dikhayi Jaane Waali Hai.
___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ikhtiyaarat.html