___________________________________

"TAQLEED AUR TAQLEED KI QISME"

TAQLEED Ke Maana Hai Pairawi Karna, Deeni Masayel Me Kisi Imam O Mujtahid Ka Itteba Karna.

Taqleed Ki 2 Surten Hain-

1). TAQLEEDE MUTLAQ
2). TAQLEEDE SHAKHSI

TAQLEEDE MUTLAQ :- Jise TAQLEEDE AAM Bhi Kehte Hain, Yani 1 Masle Me 1 Imam Ka Maslak Ikhteyar Kiya Aur Dusre Masle Me Dusre Imam Ka Maslak.

Is Taqlide Mutlaq Ka Riwaj Zamane Sahaba Me Tha Aur Ab Ye Ummat Ke HAQ Me Mana Hai.

TAQLEEDE SHAKHSI :- Yani Har Deeni Masle Me 1 Hi Imam Ki Raay aur Bayan Kardah Masle
Pe Amal Karna, Jaise Is Zamane Me 4 Imam Ke Manne Wale Har Masle Me Apne Imam Ke Qaul Ko Apnate Hain Jaise Hum HANAFI, Namaz, Roza, Hajj, Zakat, Shadi Biyah, Talaq, Tijarat Etc Ke Masayel Me Imam Abu Hanifa رضی اللہ عنہ Ke Maslake Haq Ki Pairawi Karte Hain.

___________________________________

🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html