___________________________________
❇️ Hamare Mulk Hindustan Ka Qanoon Me Har Jurm Aur Uski Saza Jis Dafa Ke Saath Likhi Gai Hai Wo 1 Kitab Ki Shakl Me Tarteeb Dee Gai, To Kya Har Hindustani Usi Kitab Ko Padh Kar Qanoon Samajhta Hai?
Hum Kehte Hain Be-Padhe Likhe Logo Ko Chhodo Balki Aala Taleem Yafta, Angrezi Zuban Ka Mahir Shakhs Bhi Jab Kisi Masle Me Ulajhta hai To Bajaye Us Qanoon Ki Kitab Ko Padh Ke Masla Hal Karne Ke Wo Kisi Wakeel (Lawyer) Ka Sahara Leta Hai, Phir Jo Wakeel (Lawyer) Samjhaye Use Bila Chun O Chara Ke Maan Leta Hai.
Yahi Mamla Quran O Sunnat Se Deen Ke Qanoon Aur Ahkam O Masayel Samajhne Ka Hai.
Uski Tashreeh O Tafseer Samajhne Ke Liye Hame Aimmae Arba (4 Imam) Ki Taqleed Karni Hogi Aur TAQLEED Karne Walo Ko Ye Ilzam Dena Ki Wo Allah O Rasool Ki Nahi Mante Balki Imamo Ki Mante Hain Nihayat Jihalat Bhari Boli hai.
🌟 In Imamo Ki Taqleed Dar Haqiqat Quran O Sunnat Hi Ka Itteba Aur Pairawi hai. Aur TAQLEED
Ka Ye Hukm To Hame Quran Hi Se Mil Raha Hai.
Allah Pak Irshad Faramata Hai -
"Aye Iman Walo Hukm Mano Allah Ka Aur Hukm Mano Rasool Ka Aur Unka Jo Tum Me Hukumat Wale Ho."
📕»» {Para-5, sure nisa ayat-59}
Is ayat Me Akhri Lafz "ULIL AMR MINKUM" (اولی الامر منکم) Aaya Hai Iski Tafseer Me,
HAZRAT JABIR BIN ABDULLAH, HAZRAT ABDULLAH BIN ABBAS, HAZRAT MUJAHID, IMAM HASAN BASRI, Se Manqool Hai Aur Imam Fakhruddin Razi Ne Isi Tafseer Ko Kai Dalilon Se Tarjeeh Dete Huye Likha Hai-
Is Ayat Me lafz "ULUL AMR" Se Ulama Murad Lena Behtar Hai .
📕»» {Tafsire Kabeer, Jild-3, Page-334}
Baher Haal Is Ayat Me Musalmano Se Kaha Gaya Ki Wo Allah O Rasool Ki Ita'at Karen Aur Un Ulma O Fuqha Ki Ita'at Karen Jo Allah O Rasool Ke Kalam Ke Shareh (Tashreeh Karne Wale) Hain. Aur Isi Ita'at Ka Istelahi Naam TAQLEED Hai.
___________________________________
🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html