___________________________________

KHULASA:

Aap Ne Dekha Quran O Hadees Se Ahkam Mustambit (Nikalne) Me Kitni Dushwariyan Aati hain? Ab Iski 2 Surten Hain, Eik Ye Ki Hum Khud Quran O Hadees Se Masla Nikale Aur Uspe Amal Kare, Dusri Surat Ye Ki Is Qism Ke Mamle Me Hum Apne Aslaaf Ka Faisla Dekhe Unho Ne Kya Samjha.

Pehli Surat Khatarnak Hai, Chunki Hum Ilm Se Kore Taqwa Taharat Me Kam Deen O Dayanat Se Koso Door Hain, Jab Ki Aslaaf Jo Quroone Oola Ke Musalman (Huzoor Ke Zamane Ke Aur Usse Qareeb Ke Zamane Ke Log, Jaise Sahaba Taba'a Tabe Tabaeen) Jinke Mubarak Mahol Me Quran Utra Is Bina Par Quran O Sunnat Ki Muraad Ko Un Logo Ne Ziyadah Samjha Hai, Jab Ki Hum Ahde Risalat Se Bahut Arsa Baad Paida Huye, Hamare Liye Quran O Hadees Ka Pase Manzar Uske Nuzool Ka Mahool Aur Us Zamane Ke Tarze Mashrat Aur Tarze Gufatagu Ka Sahi Tasawwur Bada Mushkil Hai. Halaki In Tamam Baton Ko Samajhne Ke Liye In Tamam Baton Ki Puri WAQIFIYAT Nihayat Zaroori hai.

1 Baat Khoob Zahen Me Bitha Len Ki Ahlehadis (Gair Muqallid) Bholi Bhali Awam Ko
Aimmae Kiram Ki Taqleed Se Rokne Ke liye Quran E Kareem Ki Wo Aayaat Padhte Hain Jinme Gumraho Ki Taqleed Se Mana Kiya Gaya Aur Ye Log Un Aayat Ko 4 Imamo Par Fitt Karte Hain Ye Inki Jihalat hai.

Yaad Rakhe Imam O Mujtahid Ki Taqleed Sirf Us Mauqe Par Ki Jati Hai Jahan Quran O Sunnat Se Kisi Masle Ke Hukm Ko Samajhne Me Dushwari Ho, Aur Us Masle Me Jahan Dalayel Muta'ariz (Daleelen Apas Me Takrati) Hon.

Lekin Jo Masla Quran Wa Hadees Se Wazeh Ho Aur Uspe Nasse Qatai Ho Aur Sab Ke Nazdeek Wo Masla 1 Hi Jaisa Ho Usme Kisi Imam Ya Mujtahid Ki Taqleed Nahi.

Jaise Allah 1 Hai, Huzoor Allah Ke Rasool Hain, Quran Allah Ki Kitab Hai, Taqdeer Ka Bayan, Qaza O Jaza Ka Bayan, Hashro Nashr Ka Bayan.

In Masayel Ko Manne Ke liye Hargiz Kisi Imam Ke Taqleed Ki Zaroorat Nahi, Aur Na Koi Muqallid Imam Ke Kehne Se Khuda Ko 1 Manta Hai Na Quran Ko Allah Ki Kitab Imam Ke Kehne Se Manta Hai. Balki In Sab Ka Haq O Sahi Hona Khud Nasse Qatai Se Sabit Hai Phir Isme Taqleed Kaisi?

🌟 Hanfi Mazhab Ke Mash'hoor Aalim Allama Abdul Gani Nabulsi Likhte hain -

"Pas Wo Masayel Jinka Deen Me Hona Sarahatan Maloom Hai Unme Aimma E Arba (4 Imam) Me Se Kisi Ki TAQLEED Nahi.

Namaz Farz Hai, Roza Farz Hai, Zakat, Haj Ki Farziyat, Zina, liwatat (Gay Sex), Sharab Noshi, Chori Ka Haram Hona In Chizo Ke Farz O Haram Hone Me Kisi Ki Taqleed Nahi.

Dar Asl TAQLEED Ki Zarurat Un Masayel Me Hai Jahan Ulama Ka Ikhtelaf Raha Ho.

📕»» {Khulasatut Tehqiq Fee Hukmit Taqleed Page-4}


🌟 Allama KHATEEB BAGDADI Likhte Hain -

"Shari Ahkam Ki 2 Qismen hai. 1 Wo Jinka Deen Me Hona Sarahatan Sabit Hai. Jaise 5 Namaze, Zakat, Ramzan Ke Roze, Haj, Zina Aur Sharab Ka Haram Hona. Aur isi Jaise Dusre Ahkam Inme Kisi Ki Taqleed Nahi. Chunki Inka Ilm To Har Musalman Ko Hota Hi Hai.

Aur Dusri Qism Wo Hai Jiska Ilm Fikro Nazar Aur Istedlal Ke Bagair Nahi Ho Sakta.

Jaise Ibaadat O Mamlaat Aur Shadi Biyah Ke Furooi Masayel Is Qism Me Taqleed Durust Hai Kyu Ki Allah Ka Irshad Hai,

Aye logo Ilm Walo Se Pucho Agar Tum Nahi Jante.
# {Sure Ambiya Ayat-7}

Agar Hum Deen Ke In Furooi Masayel Me Taqleed Ko Mana Kar De To Iska Matlab Ye Hoga Ki Har Shakhs Ba- Qaydah Ilm Deen Hasil Karne Me Lag Jaye Aur Logo Par Ise Wajib Karne Se Zindagi Ki Tamam Zaruriyaat Barbad Ho Jayegi, Aur Karobar Kheti Aur Maweshiyon Ki Tabahi Lazim Aayegi.
Is Liye Aisa Hukm Nahi Diya Ja Sakta.

📕»» {AL IQTESAD FIT TAQLEED WAL IJTEHAD Page-34}

Sunni Bhaiyon Ab Aap Ne Samaj Liya Hoga Ki Taqleed Kin Masayel Me hai Aur Kin Me Nahi?

Aur Is Zamane Me Taqleed Se Rokna Aur Taqleed Na Karna Bahut Badi Gumrahi Aur Be-Deeni Hai, Chunki Quran_O_Hadees Ke Rumooz O Asrar Ko Hum Kya Samjhe Jo Un Jalilul Qadr Aimma Ne Samjha.

___________________________________

🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html