___________________________________

✅Hadees No.14

Hazrat e Anas رضي الله عنه Se Marwi hai ki Hazrate Jibrail علیہ السلام Huzoor ﷺ ki Khidmat me Hazir hue aur Aap ﷺ gamgeen the Ahle Makkah ki izaa rasaani ki wajah se Aap ka jism lahu luhaan tha.

✨Hazrate Jibrail علیہ السلام ne kaha Ya Rasoolullah ﷺ kya Aap chahte hain ki Aap ko ek Nishani Dikhau ?

*Aap Ne Farmaya Haan unhone Aap ﷺ ke piche ek ped ki taraf dekha aur Arz kiya is ko bulaiye.*

✨Huzoor ﷺ ne Bulaya wo ped aaya aur Aap ﷺ ki Khidmat me khada ho gaya.

Arz Kiya is Ko huqm dijiye ki laut jaye Aap ﷺ ne Huqm diya wo
Laut gaya.

✨Huzoor ﷺ ne Farmaya mujhe kaafi hai.

📘»»Mishkat Baabul Mojezaat Safa 541

✴Yaani Hazrat Jibrail علیہ السلام ne Huzoor ﷺ ko tawajjoh dilayi ki aap malool khatir na ho Aap ﷺ ko Allah Ta'ala ne Qaynaate Aalam me mutasarrif wa mukhtar banaya hai.

Darakht bhi Aap ﷺ ke ishare par chalte hain .

🌟Jahan Me Unki Chalti Hai Wo Dam Me Kya Se Kya Kar De'n.
💖Zamee(n) Ko Aasmaa(n) Kar De Surayya ko Saraa Kar De'n.

___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ikhtiyaarat.html