___________________________________

Sawaal: Kya Farmaate Hain Ulama-E-Deen Wa Khalifa Mursaleen Masaaile Zail Mein:

1). Baaz Sunnat Jama'at Ashra Dus Muhrramul Haraam Ko Na To Din Bhar Roti Pakaate Hain Aur Na Jhadoo Dete Hain. Kehte Hain Ke Baad Dafan Taaziya Roti Pakaayi Jaayegi.

2). In Dus Din Mein Kapde Nahi Utaarte Hain.

3). Mahe Muharram Mein Shaadi Biyaah Nahi Karte Hain.

4). In Ayyaam Mein Siwaaye Imam Hasan Wa Husain Radiallahu Auhum Ke Kisi Ki Niyaaz O Faatiha Nahi Dilaate Hain. Aaya Yeh Jaaiz Hai Ya Nahi❓

Jawaab: Pehli Teeno'n Baatein Sog Hain Aur Sog Haraam Hai Aur Chauthi Baat Jahaalat Hai, Har
Maheena Har Tareekh Mein Har Wali Ki Niyaaz Aur Har Musalman Ki Faatiha Ho Sakti Hai.

»» (Fataawa Rizviya Jadeed, Jild: 24, Raza Foundation, Pg: 488)

___________________________________
🖌Post Credit -  Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/bidaat-ke-khilaaf-fatwe.html