___________________________________

✔ Hadees No.1

Hazrate Abu Darda رضي الله عنه Kahte hain ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ke Jumma ke din mere upar Durood Shareef padha karo. ye haazri ka din hai is din Farishte Haazir hote hain aur jab koi mere upar Durood padhta hai to uska Durood mere upar pesh hote rehta hai jab tak wo padhta rehta hai . Hazrate Abu Darda رضي الله عنه ne Arz kiya Aap ke duniya se rukhsat hone ke baad bhi to Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya beshak Allah Ta'ala ne zameen ke liye Haraam kar diya hai ki wo Ambiya Ke Jism ko khaye. Allah Ke Nabi Zinda Rehte hain aur unhe Rizq Diya jata hai.

📔»» Ibne Majah Safa 119
📘»» Mishkat Safa 121

➡ Ye Hadeese Pak Is aqeede ke liye Bilkul Sahih wa saaf hai ki Rasoolullah ﷺ ki hayate zaahiri
aur baad wisaal ke kisi kism ka koi farq nahi hai.

Momino Padhte Raho Tum Apne Aaqa par Durood.
Hai Farishto(n) Ka Wazeefa Assalato Wassalam.

___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/huzur-zinda-hain.html