___________________________________

Imame Ahle Sunnat imam Ahmed Raza Khan Muhaddise Bareily Alaihir Rahma Ki Kitaab Fataawa Rizviya Se Mulaahiza Ho:

Mas'la:  Hazrat Ki Khidmat Mein Arz Yeh Hai Ke Buzurgo'n Ke Mazaar Par Jaayen To Faatiha Kis Tarah Se Padha Karein Aur Faatiha Mein Kaun Kaun Si Cheez Padha Karein?

Al-Jawab:  Mazaraate Sharifa Par Haazir Hone Mein Paayenti Qadmo'n Ki Taraf Se Jaaye Aur Kam Az Kam Chaar Haath Ke Faasle Par Mavajaha Mein Khada Ho Aur Mutawassit (Darmiyani) Aawaaz Ba- Adab Salaam Arz Kare: Assalamu Alaika Ya Sayyedi Wa- Rehmatullahi Wa Barakaatahu! Phir Duroode Ghausiya Teen Baar, Al-Hamdu Shareef Ek Baar, Aayatul Kursi Ek Baar, Surah-E-Lkhlaas Saat Baar, Phir Duroode Ghausiya Saat Baar Aur Waqt Fursat De To Surah-E-Yasseen Aur Surah-E-Mulk Bhi Padh Kar Allah Ta'ala Se Dua Kare Ke Ilaahi! Is Qira'at Par Mujhe Itna Sawaab De Jo Tere Karam Ke Qaabil Hai, Na Itna Jo Mere Amal Ke Qaabil Hai Aur Usey Meri Taraf Se Is Banda-E-Maqbool Ki Nazar Pahoncha Phir Apna Jo Matlab Jaaiz Shara'i Ho, Us Ke Liye Dua Kare Aur
Saahib-E-Mazaar Ki Rooh Ko Allah Ta'ala Ki Baargah Mein Apna Waseela Qaraar De, Phir Isi Tarah Salaam Karke Waapas Aaye. Mazaar Ko Na Haath Lagaaye Na Bosa De (Adab Isi Mein Hai) Aur Tawaaf Bil-Ittefaaq Najaaiz Hai Aur Sajda Haraam.

Wallahu Ta'ala A'alam

📕»» (Fataawa Rizviya Jadeed, Jild: 9: Pg:522, Jami'a Nizamiya, Lahore)
___________________________________
🖌Post Credit -  Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/bidaat-ke-khilaaf-fatwe.html