___________________________________
✅Hadees No.3
Hazrate Abu Moosa Ash'ari رضي الله عنه se Riwayat hai ki Abu Talib Maldaar Quraish ke Humraah mulqe Shaam ki taraf chale Nabi-E-Kareem ﷺ bhi Aap ke sath the.
Jab raahib ke paas Pahuche to Abu Talib Utare aur logo ne bhi Apne Kajawe Khol Diye.
Rahib unki taraf Aaya aur Halanki Isse pahle wo log is Raste Se guzarte the lekin wo Inke Paas Nahi aata tha aur Na Inki taraf Mutawajjeh Hota tha.
Rawi kahte hain ki log Abhi kajawe Khol hi rahe the ki Inke Darmiyan chalne Laga yahan tak ki Rasoolullah ﷺ ke kareeb aaya aur Huzoor ﷺ ka daste Mubarak Pakad kar kahne laga ki Ye Saari Kaynaat ke Sardar hain. Ye Rabbul Aalameen ke Rasool Hain, Inko Khuda-E-Ta'ala ne saari
Makhlooq ke liye Rahmat banaya hai.
✨Rausaa e Quraish ne pucha Tumne ye Baate kaise jaani woh bola Jab tum Is Ghaati se Samne Aa Rahe The to Maine Dekha Ki Har Ped Aur Patthar Inko Sajdah Kar Raha tha .
⚠Kajawe = oont ke pith pe lakdi ka aisa bana huwa hissa hota hai jis pe sawar aasani se baith jaye use kajawa kahte hain.
📕 »» Tirmizi Jild 2, Safa 202
📗 »» Mishqaat, Safa 540.
Suraj Ulte Panv Palte Chand Ishare Se Ho chaak.
Andhe Najdi Dekhle Qudrat Rasoolullah ﷺKi.
___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ikhtiyaarat.html