___________________________________

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم.
الحمد للہ رب العالمین والعاقبة للمتقين، والصلوة والسلام على خاتم الأنبياء والمرسلين سيدنا ومولانا محمد، وعلى آله وصحبه اجمعين بارك وسلم تسليماً كثيراً كثيرا.... اما بعد


✴️ Har Musalman Janta Hai Ki Deen Ki Asal Dawat Ye Hai Ki Sirf Allah Ki Ita'at Kee Jaye, Yahan Tak Ki Huzoor Ki Ita'at Bhi Is liye Wajib Hai Ki Aapke Qaul (Baat) Fel (Kaam) Se Ahkame ILAHI Ki Tarjamani Hoti Hai, Kaunsi Cheez Halal Hai? Aur kya Haram? Aur Kya Jayez Hai Aur Kya Na Jayez. In Tamam Mamlaat Me Khalisatan Allah Or Uske Rasool Ki Ita'at Karni Hai. Aur Jo Allah O Rasool Ki Ita'at Ke Ilawa Kisi Ki Ita'at Ka Qayel Ho Yani Use Mastaqil Bizzat Mutaa (مطاع) Samajhta Ho, Wo Yaqinan Islam Ke Dayre Se Kharij Hai.

Har Musalman Pe Zaroori Hai Ki Wo Quran-O-sunnat Ke Ahkam Ki Ita'at Kare, Lekin Quran O Sunnat Me Baz Ahkam Aise Hain Jinhe Har Mamuli Padha Likha Musalman Samajh Sakta Hai, Isme Koi Ijmaal Ya Takrao Nahi, Balki Jo Shakhs Bhi Unhe Padhega Wo
Kisi Uljhan Ke Bagair Unka Matlab Samajh Jayega. Masalan Quran Me hai 👇.

"Tum Me Koi Kisi Ki Peeth Piche Burai Na Kare”.
📕»» {Sure Hujurat}

Jo Shakhs Arbi Janta Ho Wo Is Irshad Ke Mana Samajh Jayega, Chunki Is Ayat Se Koi Dusri Daleel Takrati Bhi Nahi Hai, Is liye Isme Koi Uljhan Pesh Nahi Aayegi, Iske Bar-Khilaf Quran O Hadees Me Bahut Se Ahkam Aise Hain Jinme Ibham Aur Takrao Hai Jo Eik Dusre Se Takrate Hain, Kuch Aise Hain Jo Quran Ki Dusri Ayat Se Ya Huzoor Ki Dusri Hadees Se Takrate Hain.

___________________________________

🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html