___________________________________

Imame Ahle Sunnat Imam Ahmed Raza Khan Muhaddise Bareily Alaihir Rahma Taaziya Daari Ki Tardeed Kis Qadar Sabih O Malih Aur Rawa'n Dawa'n Andaaz Mein Farmaate Hain: Ab Bahaar Ashra Ke Phool, Taashe, Baaje, Bajte Chale, Tarah Tarah Ke Khelo'n Ki Dhoom, Bazaari Aurto'n Ka Har Taraf Hujoom, Mash'hoor Raani Melo'n Ki Poori Rusoom, Jashne Faasiqaana Yeh Kuchh Aur Is Ke Saath Khayaal Woh Kuchh Goya Saakhta Dhaancha, Ba-Eeniha Hazraate Shohada Kiraam Alaihimur Rizwaan Ke Paak Janaaze Mein.

Aey Momino! Utho Janaaza Husain Ka Padhte Huwe Masnu'i Karbala Pahunche. Waha'n Kuchh Noch Utaar Kar Baaqi (Taaziya) Tod Taad Kar Dafn Kar Diya. Yeh Har Saal Iza'ate Maal (Maal Ka Zaaye Karna) Ke Jurm O Wabaal Judagaana Hai.

📕»» (Badarul Anwaar Fi Aadaabul Aasaar, Pg: 26, Raza Academy Mumbai)

Mazeed Irshaad Farmaate Hain Nau Chandi Ki Balayein, Masnooi Karbalayein, Alam Taaziyo'n Ke Kaawe, Takht Jareedo'n Ke Duhaare, Husain Aabad Abbasi Dargah Ke Balwe, Aise Mawaaqe
Mardo'n Ke Jaane Ke Bhi Nahi, Na Yeh Ke Naazuk Sheeshiya'n (Ahkaam-E- Shari'at) Aurto'n Ke Liye "Naazuk Sheesha'n" Kehna Kis Qadar Naadir Aur Baleegh Hai.

___________________________________
🖌Post Credit -  Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/bidaat-ke-khilaaf-fatwe.html