___________________________________
"TAQLEED SIRF 4 IMAAM HI KI KYU"
🌟 Jab Ye Haqiqat Wazeh Ho Gayi Ki Taqleede Shakhsi Zaroori Hai aur Kisi 1 Hi Imam Ki Pairawi Karna Hai To Phir In 4 Imamo Ki Kya Khususiyat?
Ummat Me To Bahut Bade Bade Imam Aur Mujtahid Guzre Hain Jaise Hazrat Abdulla Bin Masood, Muaz Bin Jabal, Hazrat Musa Ashari, Sufyan Soori, Imam Auwzai, Abdullah Bin Mubarak, Ibne Abi laila, Hasan Bin Saleh, Inki Taqlid Q Nahi Kee Jati?
Inki Taqleed Na Karne Ki Majburi Ye Hai Ki In Hazraat Ke FIQHI Mazahib Kitabi Shakl Me Mehfooz Nahi Hain, Na Inke Fiqhi Mazhab Ki Jankari Rakhne Wale Ulma Maujood Hain, Agar Hum Inki Taqleed Karna Chahe To Kaise Kare'n?
Is Liye Ab Inki Taqleed Ki Koi Sabeel Nahi.
🔆 SAHI MUSLIM KE SHAHREH ALLAMA NOWI Farmate Hain-
❝ Sahaba E Kiram Aur Quroon-e-Oola (قرون اولیٰ) Ke Musalman Agar Che Darje Ke Lihaz Se Bad Ke Fuqha O Mujtahideen Se Baland O Baratar Hain Lekin Unhe Itna Mauqa Nahi Mila Ke Wo Apne Ilm
Aur Uske Usool O Furoo Ko Mudawwin Kar Sakte, Is Liye Kisi Shakhs Ko Fiqhi Mazhab Me Unki Taqlid Jayez Nahi. Dar Asl Ye Kaam Baad Ke Aimma Ne Kiya Jo Khud Sahaba Ya Tabaeen Ke Faiz Yafta The.
Aur In Imamo Ne Apne Mazhab Ke Usool O Furoo Ko Kitabi Surat Me Mehfooz Kiya Aur Apne Mazhab Ke Ulma Ki 1 Badi Jamat Apne Baad Chhodi ❞.
📕»» {المجموع،شرح المہذب،للنووی،جلد-۱،صفحہ-۹۱}
❇️ Ab Sawal Ye Hai Ki 1 Aam Admi Jo Deen Ke Ilm Se Waqif Nahi Wo Imam Aur Mujtahid Ko Kaise Pehchane Aur 4 Imam Me Se Taqleed Ke Liye Kise Chune Aur Kaise Pehchane Ki Kis Ki Ilmi Maharat Sab Se Ziyadah hai?
To Iska Jawab Sayyedna Imam Gazali Yun Irshad Farmate Hain-
❝ Sawal Ye Hai Ki Aam Admi Imam O Mujtahid Ko Kaise Pehchane?
Wo To Baz Awqat Niche Ko Unche Se Uncha Samajhne Lagta Hai, Imam O Mujtahid Ko Janne Ke Liye To Bade Gamiz Dalayel Ki Zarurat Hai Jinko Samajhna Awam Ka Kaam Nahi.
Hum Iska Jawab Yun Denge, Dekho Kisi Shakhs Ka Bachcha Bimar Ho Aur Wo Khud Hakeem Nahi Aur Phir Wo Apni Raay Se Bachche Ko Dawa Pilay To Wo Zalim Hai Aur Natije Ka Zimmedar Hai Kotahi Karne Wala Hai, Agar Wo Kisi Hakeem Ko Dikhata To Uspe Koi Ilzam Na Tha, Phir Agar Shaher Me 2 Hakeem Hon Aur Un 2 Hakimo Ka Apas Me Dawa Tajweez Karne Me Ikhtelaf Ho Aur Ye Shakh Apne Bachche Ko Un 2 Me Se Behtar Hakim Ko Na Dikhaya To Uspe Kotahi Ka Ilzam Aaya.
1 Shakhs Achche Hakim Ka Pata Mutawatir Khabron Se Lagata Hai Ya Is Tarah Andaza Lagata Hai Ki Kam Ilm Tabeeb Us Bade Tabeeb Ki Baat Mante Hain Use Fanne Hikmat Me Apna Rehnuma Jante Hain Aur Bhi Bahut See Alamaten Hain Jisse 1 Aam Admi Mahir Hakeem Ka Pata Laga Sakta Hai,
Pas Yahi Mamla Aimma O Mujtahideen Ka Hona Chahiye, Aam Admi Unki Shohrat Aur Dusre Qarain Se Andaza Kare Aur Apne Tamam Deeni Mamle Me 1 Imam Ko Muqtada Bana Kar Ta Zeest Uski Taqleed Kare ❞.
📕»» {المستصفی، للامام الغزالی، جلد-۲، صفحہ-۱۲۶}
__________________________________
🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html