___________________________________
✅Hadees No.2
❝ Hazrat Ameere Muaaviya رضي الله عنه Ne Logo ko khitab karte huye farmaya ki Huzoor ﷺ ko maine ye farmate huye suna hai ki Allah Ta'ala Jis se bhalai ka irada farmata hai usko deen me samajh Ataa farmata hai aur Beshaq Main Bantne Wala hun aur Allah Ta'ala Dene wala.❞
📕 »» Sahih Bukhari, Jild 1, Safa 16
✨Is Hadees shareef ko padh kar khub Raushan ho gaya ki jo kuch jis ko Allah Ta'ala Ataa Farmata hai wo Sab Huzoor ﷺ Taqseem farmaate hain aur wo aap ki chaukhat se milta hai.
Jo log Huzoor ﷺ ki shaan ghataate, unhone is Hadees me ye baat paida ki hai ki choonki Ye Hadees Ilm ke bayan me hai isse Maloom hota hai ki Huzoor ﷺ sirf Ilm Bantate hain aur Kuch Nahi.
To Aise logo se ye Maloom kiya jaaye ki kya Woh ye kahne ki Zurrat karenge ki Khuda E Ta'ala bhi Mazz'Allah Sirf Ilm Ata Farmane Par Qudrat Rakhta hai aur kisi par nahi.
Kyunki is Hadees me Huzoor ﷺ Ko Bantne Wala aur Allah Ta'ala ko ataa farmane wala kaha gaya hai to agar Huzoor ﷺ ko bantne me sirf Ilm Par ikhtiyar hai to Allah Ta'ala ko bhi Maaz'Allah Sirf
Ilm dene Wala Kahna padega.
MAAZ'ALLAHI RABBUL AALAMEEN
✨ Hadees Shareef ke mana yahi hai ki jo kuch jis kisi ko Allah Ta'ala ataa farmata hai is sab ke taqseem karne wale aap ﷺ hain aur aap Ata-E-Ilahi ka waseela hain.
Bukhari shareef hee me dusri jagah isi mafhoom wali ek hadees is tarah marwi hai Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya -
❝ Main bantne wala hu, Khazanchi Hun aur Allah ta'ala Ataa Farmane Wala hai.❞
📗 »» Bukhari, Jild 1, Safa 439
Laa Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila.
Bantati Hai Qaunain me Ne'amat Rasoolullah ﷺ ki.
___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ikhtiyaarat.html