___________________________________

🌟 TAQLIDE MUTLAQ Ya Tarke Taqleed (Kisi Imam Ki Taqleed Na Karna) Dono Gumrahiyat Hai.

Hum Dekhte Hain Aisa Hi Aasan Mazhab Gair Muqallidon Ne Banaya Hai Jisme Sirf Aasani Hi Aasani Aur Faydah Hi Faydah Hai.

Aur Logo Ko 4 Imam Ki TAQLEED Se Rok Kar Apne Batil Jamat Pe Chalana Chahte Hain.

🔆 Gair Muqallidon Ke Mazhab Me Aasani-

Hawa Nikalne Se Wazu Nahi Toot'ta,
Qurbani 4 Din Hai,
Taraweeh 8 Rakat Hai,
3 Talaq 1 Saath Dene Se Nikah Nahi Toot'ta,
Nange Sar Namaz Jayez hai,
Aurten Masjid Me Aayen,
Namaz Ke Baad Dua Mangana Koi Zaroori Nahi,
Farz Pe Dhiyan Do Sunnaton Ko Ahmiyat Nahi.

Aur Bhi Bahut See Aasani Jise Dekh Kar Log Inke Jhanse Me Aarahe Hain.

❇️ Taqlide Shakhsi (1 Hi Imam Ki Taqlid Karna) Ka Riwaj Kyu Aur Uske Asbab Kya Hain Bayan Karte Huye Allama IBNE KHULDOON Likhte Hain -

❝ Aur Tamam Shehron Me 4 imamo Ki TAQLEED Khas Ho Gayi, Dusre Aimma Ke Muqallideen
Khatm Ho Gaye, Aur Ulma Ne In 4 Imamo Se Ikhtelaf Ka Darwaza Band Kar Diya, Aur Is Baat Se Bhi Mana Kiya Ki In 4 Me Bhi Badal Badal Kar TAQLEED Kare Yani Aaj HANFI To Kal Shafai, Kyu Ki Ye TARIQA Deen Me Khilona Hai ❞.

📕»» {مقدمہ ابن خلدون' صفحہ-۶۶۸}

Khulasa Ye Ki Sahaba Aur Tabaeen Ke Daur Me Dayanat Aam Thi Wo Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ke Faiz Yafta The Unki Khwahishe Nafsani Magloob Thi Shariat Ke Mamle Me Unhe Khawahishat Ki Pairawi Kar Khatra Nahi Tha.

Is Liye Unke Daur Me Taqleede Shakhsi Aur Taqleede Mutlaq Dono Pe Amal Hota Raha.

Aur Baad Me Jab Ye Zabardast Khatra Samne Aaya To Taqleed Ko Taqleede Shakhsi Ke Sath Khas Kar Diya Gaya.

❇️ Hindustan Ke Mash'hoor Aalim Hazrat Shah Waliullah Mohaddisd Dahelvi رحمت اللہ تعالی علیہ Jinhe Ahlesunnat Barelvi, Deobandi Aur Gair Muqallid Sab Apna Peshwa Mante Hain Wo Likhte hain -

❝ Yad Rakhiye Pehli Aur Dusri Sadi Hijri Me Tamam Log 1 Hi Imam Ki TAQLID Par Jama Nahi The, Tisri Sadi Me 1 Imam Aur Mujtahid Ki Taqlid Aur Usi Ke Mazhab Pe Amal Ka Riwaj Tamam Musalmano Me Hua, Us Waqt Aise Bahut Kam Log Honge Jo Kisi 1 Imam Ki TAQLEED Par Etemad Na Karte Hoge, Aur Is zamane Me Yahi Chiz Wajib Hai Ki Kisi 1 Imam Ki TAQLEED Kee Jaye ❞.

📕»» {الانصاف فی بیان سبب الاختلاف، صفحہ-۵۷}


🌟 Baz Log Ye Aiteraz Kar Sakte Hain Ki 1 Chiz Jo Sahaba Aur Tabaeen Ke Zamane Me Wajib Na Thi Phir Wo Tisri Sadi Me Wajib Kaise Ho Gayi?

Hazrat Shah Waliullah رحمت اللہ علیہ Iska Jawab Yun Dete Hain-

❝ Sahaba Hadison Ko Likhte Nahi The Lekin Hamare Zamane Me Ahadees Ka Likhna Wajib Hai Chunki Sahaba Ke Ahed Me Simae Ahadees (Hadees Ko Sunke Yad Karna) Tha, Magar Is Zamane Me Riwayate Hadees Ke Liye Iske Siwa Koi Surat Nahi Ki Un Kitabo Ko Dekha Jaye Jo Muhaddiseen Ne Likhi.

Isi Tarah Hamare Aslaf SARF NAHO AUR LUGAT Ke Ilm Me Mashgool Nahi The, Is liye Ki Unki Maadri Zuban Hi Arbi Thi, Lekin Hamare Zamane Arbi Zuban Ka Hasil Karna Wajib Hai, Aur Uske Liye Hame In Uloom Ka Sikhna Zaroori Hai Chunki Hum Ibtedai Ahle Arab Se Bahut Door hain, Isi par 1 imam Ki TAQLID Ko Qayas Karna Chahiye Ki Wo Pehle Wajib Na Thi Aur Ab Wajib ho Gai ❞.

📕»» {الانصاف صفحہ-۶۹}


🔆 Shah Waliullah Mohaddise Dahelvi Mazeed Farmate Hain -

❝ Bila Shubah Ye 4 Mazahib (Ahnaf, Shawafe, Malkiyah, Hanablah) Jo Tarteeb Diye Gaye Aur Tehreer Ki Shakl Me Maujood Hai Unki TAQLID Jayez Hone Par Puri Ummat Ka Ijma Hai, Aur Isme Jo Maslihaten Hain Wo Poshidah Nahi, Bilkhusus Is Zamane Me Jab Ki Himmaten Past Ho Gayi Khawahishat Gutthi Me Pad Gayi Aur Har 1 Sahebe Raay Apni Ray Par Ghamand Karne Laga Hai.
Khulasa Ye Ki Mujtahideen Ke Mazhab Ki Pabandi 1 Raz Hai Jise Allah Ta'ala Ne Ulma Ke Dilon Me Daal Diya ❞.

📕»» {حجت اللہ البالغہ. جلد-۱،صفحہ-۱۵۴}

___________________________________

🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html