___________________________________
Qurane Karim Ki Bahut Se Ayaton Se Taqleed Ka Saboot Hai Iske Ilawa Hadise Pak Se Bhi Taqleed Ka Jawaz (Jayez Hona) Sabit Hai -
HADEES:
Hazrat Huzaifa Se Riwayat Hai Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ne Irshad Farmaya Mujhe Malum Nahi Mai Kitna Arsa Tumhare Beech Rahu, Pas Tum Mere Bad ABU BAKAR AUR UMAR Ki IQTEDA (Taqleed) Karna.
📕»» {Mirqatul Mafateeh Sharah Mishkatul Masabeeh, Jild-5, Safa-549}
Gair Muqallid Kehte Hain Sirf Quran Hadis Pe Chalo Kisi Ki Taqleed Na Ki Jaye Huzoor Apne Baad Hazrat Abu Bakar O Hazrat Umar Ki Taqlid Ka Hukm De Rahe Hain. Huzoor Ka Hukm Hadees Hai, Agar Ye Gair Muqallideen Ahle Hadees Hote To Zaroor Nabi Alaihissalam Ke Is Farman Pe Amal Karte.
Hazrat Umar Ne Taraveeh Ki 20 Rakat Ka Jamat Se Ehtemam Kiya Magar Ye Log Taraweeh FAQAT 8 RAKAT Padh Kar Hazrat Umar Ki Mukhalifat Karte Hain Aur Ye Mukhalifat Haqiqat Me Hazrat Umar Ki Nahi Balki Huzoor Ki Hai.
HADEES:
❝ Beshak Allah Pak ILM Ko Dilon Se Nahi Nikalega Balki ILM Ko Is Tarah Utahyga Ki Ulma
(Aalimo) Ko Apne Pas Bulalega, Yahan Tak Ki Jab Koi Aalim Baqi Nahi Rahega To Log Jahilon Ko Apna Sardar Banayge, Log Unse Sawal Karege Aur Wo Bagair ILM Ke Fatwa Denge, Wo Khud Bhi Gumrah Hoge Aur Dusron Ko Bhi Gumrah Karege.❞
📕»» {Mishtak, Kitabul Ilm Fasle Awwal, Safa-35}
Is Hadees Se Malum Hua Fatwa Dena Ulma Ka Kaam Hai Aur Log Ulma Hi Se Deen Ke Masle Puche Aur Log Unke Batalay Pe Amal Kare, Yahi To TAQLEED Ka Haasil Hai.
Aur Is Hadees Me Huzoor Ne Aise Zamane Ki Khabar Dee, Jisme Ulma Mafqood (Khatm Ke Qarib) Ho Jayenge, Aur Jahil Fatwe Dege Yahan Sawal Ye Hai Us Daur Me Deen Pe Amal Ki Surat Kya Hogi?
To Iske Siwa Aur Kya Surat Ho Sakti Hai Ke Log Guzre Huye Ulma Ki TAQLEED Kare.
HADEES:
❝ Hazrat Abdullah Bin Umr se Riwayat Hai Huzoor Ne Farmaya Jisme 2 Adaten Ho Allah Use Sabir O Shakir Likhega, Jo Deen Ke Mamle Me Apne Se Baland Martaba Ko Dekhe Uski IQTEDA (Taqleed) Kare, Aur Duniya Ke Mamle Me Apne Se Niche Wale Ko Dekh Kar Allah Ka Shukr Ada Kare Ki Usne Mujhe Isse Achchi Halat Me Rakha. ❞
📕»» {Jame Tirmizi, Abwabul Qayamah}
Mukhtasar Hum Ne Taqleed Par Hadeese Pesh Ki Warna Bahut Se Hadeese Is Masle Par Maujood Hain.
___________________________________
🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html