___________________________________
⚡Gair Muqallid Aalim Maulana Mohammad Juna Garhi, Ahlehadees Jamat Ke 2 Wasool Farmane Khuda, Farmane Rasool, Ka Nara Lagate Huye Apni Kitab Me Likhte Hain -
"Aapke 2 Haath Hain Aur Shariat Ne Aapko 2 Chizen Dee Hain, 1 Quran Aur Dusri Hadees, Ab Na Tisra Haath Hai Na Tisri Cheez.
#{Tariqe Mohammadi, Page-19}
Esi Kitab Me Aage Likhte Hain-
"Suniye Janab Buzrugon Ki Mujtahido Aur Imamo Ki Raay Qayas Ijtehad O Istembat Aur Unke Aqwaal To Kahan, Deen Me Agar Khud Paigambar (Huzoor) Bhi Apni Taraf Se Bagair Wahi Ke Kuch Faramayen To Wo Hujjat Nahi"
#{Tariqe Mohammadi, Page-57}
🔆 In 2 Ibarton Se Pata Chala Ki Gair Muqallidon Ke Nazdeek Deen Ke Tamam Ahkam O Masayel Ko Samajhne Ke Liye Sirf Aur Sirf 2 Hi Chizen Zarya Hai 1 Quran 2ri
Hadees.
Jab Ki Ahlesunnat O Jamat (Hanfi, Shafai, Malki, Hambali) Ke Nazdeek Shariat Ke Ahkamo Masayel Sabit Karne Ke Liye Daleelen 4 Hain -
1). Quran
2). Hadees
3). Ijma
4). Qayase Shari.
#{NURUL ANWAR}
🔸Ab Yun Samjho, Ki Shariat Ke Baaz Ahkam Quran Se Sabit Hote Hain, Masalan Quran Ne Kaha Namaz Qayam Karo, Magar Namaz Padhne Ka Mufassal Tariqa Aur 5 Waqt Ki Namazo Ki Rakat Kya Quran Me Likhi Hai?
Iske Liye Hame Hadees Se Namaz Ki Tafseel Samajhni Hogi.
Aur Baaz Masayel Wo Hain Jo Hadees Me Hain Ya Bilkul Nahi Aur Hai To Ijamalan (Mukhtasaran) Zikr Kiye Gaye Uski Tafseel Ke Liye Imam O Mujtahid Qayas Karta Hai Ya Qayas Ke Zariye Baat Ko Puri Tarah Samjhta Hai Aur Hum Jaise Log Us Imam Ke Qayas Se Us Masle Ko Puri Tarah Samajhte Hain.
Uski Misal Yun Samjho-
Hadees Me Hai Jab Khane Me Makhkhi Gire To Use Pura Duba Kar Nikale Aur Khana Istemal Me Laye Usse Khana Kharab Nahi Hua.
Hadees Me Sirf Makhkhi Ke Bare Me Ye Hukm Aaya Hai, Lekin Agar Machchar, Jugnu, Makoda Gire To Kya Kiya Jaye?
Iska Hukm Na Quran Me Hai Na Hadees Me, Is Mauqe Pe Imam Abu Hanifa رضی اللہ عنہ Ne Qayas Kiya Aur Inka Hukm Bataya Ki Dekho Makhkhi Ke Girne Se Khana Is Liye Kharab Nahi Hota Chunki Uski Ragon Me Gardish Karne Wala Khoon Maujood Nahi Lihaza Tamam Aisi Chizen Jinko Ragon Me Daorne Wala Khoon Nahi Wo Makhkhi Ke Hukm Me Hai.
Haan Agar Makhkhi Gire To Use Pura Duba Kar Niklana Usi Ke Saath Khas Hai, Chunki Hadees Me Aaya Hai Ki Makhkhi Ke 1 Par Me Shifa Aur 1 Par Me Bimari Hai, Wo Jab Bhi Khane Me Girti Hai To Bimari Wala Par Dalti Hai Is Liye Use Pura Duba Kar Nikale Taki Shifa Wala Par Bhi Doob Jaye.
Lekin Machchar Aur Jugnu Makoda Etc, Ko Sirf Nikale Aur Khana Istemal Kare.
___________________________________
🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html