___________________________________
"TALQIDE SHAKHI AUR QAYAS O IJTEHAD KA ROSHAN SABOOT HADISE RASOOL SE"
HADEES:
Hazrat Muaaz Bin Jabal (Radi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Jab Huzoor ﷺ Ne Unhe Yaman Ka Hakim Bana kar Bheja To faramya Aye Muaz Jab Koi Mamla Pesh Aay To Tu Kaise Faisla Karega?
Aapne Ne Arz Ki Allah Ke Quran Se, Huzoor ﷺ Ne Faramaya Agar Ye Masla Quran Me Na Mile To?
Arz Ki Aapki Sunnnat Se, Huzoor ﷺ Ne Faramaya Agar Us Mamle Ka Hal Quran O Sunnat Dono Me Na Mile To?
Arz Ki Apni Raay Se Ijtehad O Istembat Karunga, Aur Koi Kotahi Nahi Karunga (HAQ Tak Pahuchne Me) Is Baat Par Huzoor ﷺ Ne Khushi Se Hazrat Muaz (Radi Allahu Anhu) Ke Sine Par Apna Hath Mara Aur Faramaya Allah Ka Shukr Hai Jisne Apne Rasool Ke Qasid Ko Is Baat Ki Taufiq Dee Jis Par Allah O Rasool Razi Hain.
📕»» {سنن ابی داود. کتاب الاقضیہ' باب اجتہادالرأی فی القضاء}
Mazkura Hadees Ko Gaur Se Padhen Iski Roshni Me Chand Baten Malum Hoti Hai.
Pehle Ye Ki Shariat Ke Masayel Hal Karne Ke
4 Darje hain.
1- Quran
2- Sunnat
3- Ijma
4- Ijtehad Yani Qayase Shari.
🌟 Gair Muqallideen Kehte Hain Ki Har Masla Sirf Quran Hadees Se Malum Karo, Ye Boli Sarasar Hadees Ke Khilaf Hai, Aur Jo Hadees Hi Ka Mukhalif Ho Wo Ahle hadees Kaise?
Aur Is Hadees Se Ye Bhi Pata Chala Ki Huzoor Ne Apne Tamam Fuqha Ulma Sahaba Me Se Sirf 1 Sahabi Ko Tamam Yaman Walo Ki Taraf Hakim O Qazi Aur Moallim O Mujtahid Bana Kar Bheja Aur Tamam Ahle Yaman Par Isi 1 Shaksh Ki Itteba Aur TAQLID Wajib Kar Dee.
Ab Yahan Hum Iski Misal Bhi Pesh Karte Hain Ki Hazrat Muaz Bin Jabal Ne Yaman Me Bahut Se Masle Sirf Qayas Se Bayan Kiye Jinka Hukm Quraan Hadees Me Sarahat Se Nahi Tha.
MISAAL :-
Hazrat Abul Aswad Kehte Hain, Muaz Uaman Me The Kuch Log Unke Pas Ye Masla Laye Ki 1 Yahudi Mar Gaya Aur Apne Piche Apna 1 Musalman Bhai Chhod Gaya To Kya Us Yahudi Ke Maal Se Uske Musalman Bhai ko Hissa Milega?
Hazrat Muaz Ne Jawab Diya Mai Ne Huzoor Se Suna Hai Islam Ziyadati Karta Hai Kami Nahi, Lihaza Mere Nazdeek Us Yahudi Ke Maal Me Musalman Ko Hissa Milega.
📕»» {مسند امام احمد بن حنبل. جلد-5، صفحه-236}
Dekhiye Hazrat Muaz Ne Us Hadees Se Istedlal Kiya Jo Wirasat Ke Masle Ki Thi Hi Nahi, Ye Unka Ijtehad Tha.
Ye Gair Muqallideen Jo Qaum Ko Gumrah Kar Rahe Hain Quran O Hadees Pe Amal Ka Nara Laga Kar,Ye Log Haqiqat Me Quran O Hadees Ke Munkir, Islam Ke Dushman Aur Angrezo Ke Pakke Agent Hain.
Apne Aap Ko Ahle hadees (Hadees Pe Chalne Wala) Kehne Wale Ye log Khud Quran O Hadees Ke Munkir Hain, Sunni Hanfi Barelvi Musalmano Is Daure Pur Fitan Me Apne Iman Ki Hifazat Sab Se Zaroori Hai, Jiska Behtarin Tariqa Ye Hai Ki Apne Buzrogun Ki Raah Pe Chalna.
Hum Ne Hadees Ki Roshni Me Taqleede Shakhsi Sabit kar Dee, 4ron Imam Haq Par Hain Aur In 4ron Me Se Taqleed Kisi 1 Ki Hi Kee Jaye.
___________________________________
🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html