___________________________________

🌟 Ye Baat Khas Zahen Me Rakhiye 4 Imam Me Se Kisi 1 Ki Taqleed Karna Wajib Hai Magar Is Taqleed Ka Matlab Hargiz Ye Nahi Ki Hum Imam Hi Ki Ita'at Kar Rahe Hain, Nahi Balki Ita'at Allah O Rasool Ki Hai Bas Sahi Matlab O Muraad Tak Pahuchne Ke Liye Imam Ke Qaul Pe Amal Kiya Ja Raha Hai.

🔆 Allah Pak Ne Qurane Karim Ko 2 Hisson me Rakha Hai, Eik Jiska Ta'alluq Nasihat Aur Waqiyat Se Hai, Jisme Allah Ki Shaan aur Qudrat Ka Bayan Hai, Quran Ke Is Hisse Ko Har Koi Quran Padh Kar Samajh Sakta hai.

Aur Quran Ka Wo Dusra Hissa Jiska Ta'alluq Ahkam Se Hai, Masayel Se Hai, Qanoon Se Hai, Iska Samajhna Sab Ke Bas Ka Kaam Nahi Balki Faqeeh, Mujtahid Jiski Nigah Tamam Deeni Uloom O Funoon Par Hai Wahi Ise Samajh Kar Hame Samjhata Hai Aur Hamara Kaam Ye Hai Ki Uske Samjhay Huye Ko Samjhe Aur Uspe Amal Kare, Isi Ka Naam TAQLEED Hai.

🌟 Aaj Kal Gair Muqallid Logo Ko Zahen Dete Hain Ki Allah Ne Quran Ko Asaan Kiya Is Liye
Hum Khud Quran Padh Kar Deen Samjhe Aur Huzoor Ki Sahi Hadees Ko Hum Khud Samjhe Iske Liye Hame Kisi Imam Ya Mujtahid ki Taqleed ki Zarurat Nahi.

Sunne Me Ye Baat Kafi Achchi Malum Hoti Hai, Magar Yaad Rakhiye Allah Ne Quran Ko Aasan Zaroor Kiya Magar Sirf Nasihat Samajhne Ke Liye Qanoon Samajhne Ke Liye Nahi.

Dekhiye Irshad Rabbani Hai-

"Hum Ne Quran Ko Asan Kiya Nasihat Samajhne ke Liye To Hai Koi Nasihat Hasil Karne Wala"

📕»» {Para-27, Sure Qamar, Aayat 17}

Quran Me Jo Pichli Ummat Ki Nafarmani Aur Bagawat Par Allah Ka Unpe Azab Aaya Allah Farmata Hai Use Padh Ke Nasihat Hasil Karo.

Is Ayat Ka Ye Matlab Tha, Magar Afos AQAL Ke Dushman Ahle Hadees Logo Se Kehte Hain Sidhe Quran Padh Kar Deen Samjho Kisi Imam Ya Buzrug Ki Baat Na Mano, Hum Kehte Hain Is Tarah Koi Quran Nahi Samjhega Balki Gumrah Ho Jayga.

Quran O Hadees Me Itni Gehrai Aur Aisi Barikiyan Hain Jise Agar Koi Khud Se Samajhna Chahe To Gumrah ho Jayge, Isi Liye Farmaya Gaya Ki Bado Ki TAQLEED Karo Aur Jo Unho Ne Samjhaya Hai Use Samjho.

___________________________________

🖌Musannif - Gaziye Ahlesunnat Munazire Islaam Fatahe Gair Muqallidiyat Hazrat Allama Wa Maulana Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla.

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/taqleed.html