___________________________________

Imame Ahle Sunnat Imam Ahmed Raza Khan Muhaddise Bareily Alaihir Rahma Farmaate Hain Ki Basha Bi-Zaatihi Haraam Hai.

Nashe Ki Cheezein Peena Jis Se Nasha Baazo'n Ki Munasibat Ho Agarche Hadde Nasha Tak Na Pahunche Yeh Bhi Gunah Hai.

Haa'n Agar Dawa Ke Liye Kisi Murakkab Mein Afyoon Ya Bhang Ya Charas Ka Itna Juz Daala Jaaye Jis Ka Aql Par Aslan Asar Na Ho, Harj Nahi. Balki Afyoon Mein Is Se Bhi Bachna Chaahiye
Ke Is Khabees Ka Asar Hai Ke Me'de Mein Suraakh Kar Deti Hai.

📕»» (Ahkaam-E-Shariat, Jild: 2)

___________________________________
🖌Post Credit -  Shakir Ali Barelwi Razvi  wa  Ahliya Mohtarma

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/bidaat-ke-khilaaf-fatwe.html