___________________________________

✅Hadees No.10

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Farmate hain Ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki main Baroze Qayamat sab Insano ka Sardar Rahunga aur sabse awwal Qabre Anwar se Bahar tashreef launga aur sab se pehle Shafa'at farmane wala aur Pehla Shafa'at qubool kiya hua main hi hu.

📗»»Tirmiji Jild 2 abwabul manakib safa 202
📘»»Ibne maaja Baab Zikrush-shafa'at Safa 329

✴Is Hadees Ki Sharah me Imame Azal Nauwi Farmate hai Huzoor ﷺ Duniya wa Aakhirat dono jahan me Saare Insano ke sardar hain Lekin Hadees me sirf Qayamat ka zikr isliye hai ki Qayamat ke din Aap ki Sardari wa Badshahat sab par zaahir farma di jayegi aur koi Inkari na rahega.


🌟Faqat Itna Sabab Hai Bazme In''eqad E Mehshar Ka.
💖Ke Unki Shaane Mahboobi Dikhayi Jaane Waali Hai.

___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ikhtiyaarat.html