___________________________________

✅Hadees No.20

Hazrate Bara'a Farmate hain ki mere ek Mamu jinka naam Abu Darda tha unhone Eid ki Namaz se pehle Qurbani kar di to Unse Rasoolullah ﷺ ne Irshad farmaya Tumhari wo Qurbani to gosht ho gai (Yaani Qurbani ka sawab nahi milega) to unhone ne Arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ mere paas ek palaa hua 6 Maah ka bakri ka baccha hai uski Qurbani kar du'n ?

✨Huzoor ﷺ ne irshad farmaya iski Qurbani kar do.

Lekin ye Ijazat sirf Tumhare liye hai.

Tumhare Alawa kisi aur ke liye 6 Maah ka Bakri ka baccha kaafi nahi hai.

📕»»Bukhari Jild 2 Safa 833

✴Yani Huzoor ﷺ ne apne Khudadad Ikhtiyarat se janab Abu Darda ke liye sirf 6 maah ke bakri ke
bache ki Qurbani jayaz farma di.

Lehaza Manna padega ki Beshaq Allah Ta'ala ne Apne Rasool ﷺ ko Mukhtar bana kar bheja hai majboor nahi .

✨Isse Ye bhi pata chalta hai ki Rasoolullah ﷺ sirf Kanoon Janne wale nahi Balqi Kanoon Banane wale bhi hain.

💖Bakhuda Khuda ka yahi hai dar nahi aur koi Mafar Maqar.
🌟Jo wahaan se ho yahin aake ho jo yahan nahi to wahan nahi.

___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ikhtiyaarat.html