___________________________________
Sawaal: Kya Farmaate Hain Ulama-E-Deen Is Mas'ala Mein Kee Ek Shakhs Ne Yeh Niyat Ki Ke Agar Meri Naukri Hojaaye To Pehli Tankhwah Ziyaarat Peeraane Kaliyar Shareef Ki Nazr Karunga, Woh Shakhs 13 Tareekh Se Naukar Huwa Aur Tankhwah Is Ki Ek Maheena Satra Din Baad Mili. Ab Yeh Ek Maah Ki Tankhwah Sarf Kare Ya Satrah Din Ki? Aur Is Tankhwah Ka Sarf Kis Tarah Par Kare Yaani Ziyarat Shareef Ki Safedi Wa Taamer Waghaira Mein Lagaaye Ya Hazrat Sabir Piya Sahib Alaihir Rahma Ki Roohe Paak Ko Faatiha Sawaab Bakhshe Ya Dono'n Taraf Sarf Kar Sakta Hai?
Al-Jawab: Imame Ahle Sunnat Imam Ahmed Raza Khan Muhaddise Bareily Alaihir Rahma Farmaate Hain Sirf Niyat Se To Kuchh Laazim Nahi Hota Jab Tak Zabaan Se Alfaaz Nazar-E-Eejaab Kahe Aur Agar Zabaan Se Alfaaz Mazkoor Kahe Aur Un Se Maa'ne Sahih Muraad Liye Yaani Pehli Tankhwah Allah Ta'ala Ke Naam Par Sadqa Karunga Aur Is Ka Sawaab Hazrat Makhdoom Sahib Alaibir Rahma Ki Nazar Karunga Ya Pehli Tankhwah Allah Ta'ala Ke Liye Makhdoom Sahib Alaihir Rahma Ke Aastaana-E-Paak Ke Faqeero'n Ko Doonga, Yeh Nazar Sahih Shara'i Hai Aur Istehsaanan Wujoob Ho Gaya. Pehli Tankhwah Usey Faqeero'n Par Sadqa Karni Laazim Ho Gayi Magar Yeh Ikhtiyaar Hai Ke Aastaana-E-Paak Ke Faqeero'n Ko De Aur Jaha'n Ke Faqeero'n Mohtajo'n Ko Chaahe Aur Agar Yeh Ma'ane Sahih Muraad Na They Balki Baaz Be-Aql Jaahilo'n Ki Tarah Be Iraada Sadqa Waghaira Qurbaate Sharai'ya Sirf Yehi Maqsood Tha Ke Pehli Tankhwah Khud Hazrat Makhdoom Sahib Ko Doonga To Yeh Nazar Baatil Mahez Wa Gunaahe Azeem Hogi. Magar Musalman Par Aise Ma'ane Murad Lene Ki Bad Gumaani Jaaiz Nahi Jab Tak Woh Apni Niyat Se Saraahatan Ittela'a Na De.
Isi Tarah Agar Nazar Ziyaarat Karne Se Is Ki Yeh Muraad Thi Ke Allah Ta'ala Ke Waaste Imaarat
Ziyaarat Shareef Ki Safedi Kara Doonga Ya Ihaata Mazaare Pur-Anwaar Mein Roshni Karoonga. Jab Bhi Yeh Nazar Ghair Laazim Wa Na-Mo'tabar Hai Ke Un Af-Aal Ki Jins Se Koi Waajib Shara'i Nahi. Raha Yeh Ke Jis Haalat Mein Nazar Sahih Ho Jaaye.
Pehli Tankhwah Se Kya Muraad Hogi Yeh Zaahir Hai Ke Urf Mein Mutlaq Tankhwah Khusoosan Pehli Tankhwah Ek Maheene Ki Ujrat Ko Kehte Hain. Agarche Is Ka Ek Juz Bhi Tankhwah Hai Aur Umr Bhar Ka Waajib Bhi Tankhwah Hai To Pehli Tankhwah Kehne Se Awwal Tankhwah Ek Maah Hi Urfan Laazim Aayegi. Kyunke Kisi Aqd Waale, Qasam Waale, Nazar Waale Aur Waqf Karne Waale Ke Kalaam Ko Mut'aarif Ma'ane Par Mehmool Kiya Jaayega Jaisa Ke Is Par Nass Ki Gayi Hai.
📕»» (Raddul Mohtaar, Baabut Taleeq, Daar Ahya At-Turaas Al-Arabi Bairut,
Jild: 2, Pg: 533, 499)
📕»» (Fataawa Rizviya Jadeed, Jild: 13, Pg: 591, Jami'a Nizamiya Lahore)
___________________________________
🖌Post Credit - Shakir Ali Barelwi Razvi wa Ahliya Mohtarma
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/bidaat-ke-khilaaf-fatwe.html