___________________________________

✅Hadees No.7

Hazrat e Anas رضي الله عنه Se Marwi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya Baroze Qayamat sab se pehle Main Niklunga jab Log wafd(chota ka qafla) banege to Main Aage rahunga.

Jab Log Khamosh honge to Main hi khitaab karunga.

Jab log roke jayenge to Main hi Shafa'at Karunga.

Jab log Mayoos honge to Main unhe khushkhabari Sunaunga.

Izzat dena mere Ikhtiyar me hoga aur khair ki Saari kunjiya mere hath me hongi.

📕»»Mishkat Safa 514

✴Is Hadees me Huzoor ﷺ ka ye farmana ki Izzat wa karamat ki Saari kunjiya mere hath me hongi
ye bata raha hai ki Baroze Qayamat Mukhtare kul honge aur Aap ko Saare Ikhtiyarat Hasil honge kyun ki Kunjiya Mukhtaar ke paas hoti hai majbur ke paas nahi .

🌟Jahan Baani Ataa Kar De Bhari Jannat Hiba Kar De'n.
💖Nabiﷺ Mukhtare kul Hai Jisko Jo Chahe Ata Kar De'n.

___________________________________

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ikhtiyaarat.html