✒Chapter- 11 " GUSL KIN BATON SE FARZ HOTA HAI "
______________________________________
Mas'ala: ~
Mani Shehwat Se Apne Maqam Se Juda Na Hui Balki Boojh Uthane Ya Oonchai Se Girne Par Nikli To Gusl Wajib Na Hua Haan Wazoo Toot Gaya.
{📜 Fatawa Alamgeeri, Jild-1, Page-10}
Mas'ala: ~
Khawab Dekha Mani Nikalne Ko Thi Ki Pakad Ke Daba Liya Aur Mani Nikalne Na Dee, Phir Jab Aale Ki Sakhti Khatm Hui Aur Ab Mani Nikle To Gusl Wajib Ho Gaya.
{📜 Fatawa Razviyah, Jild-1, Safah-518}
Mas'ala: ~
Jispe Gusl Farz Ho Use Masjid Me Jana, Tawafe Kaba, Qurane Pak Chhuna Ya Zabani Padhna, Ya Kisi Ayat Ka Likhna Ya Qurani Taviz Ka Likhna Ya Chuna Haram Hai.
{📜 Bahar-E-Shariat, Hissa-2, Page-326}
Mas'ala: ~
Be-Gusli Ko Tafseer Hadees, Fiqah Ki Kitabon Ko Chhuna Makrooh Hai, Pichli Asmani Kitaben Jaise Taurat, Zaboor, Enjeele Muqaddas, Ka Chuna Aur Padhna Bhi Makrooh Hai, Darood Sharif Aur Duayen Kulli Ya Wazu Kar Ke Padh Sakta Hai Aur Azan Ka Jawab Dena Bhi Jayez Hai.
{📜 Fatwa Hindiya, Volume-1, Page-38}
Gusl Ke Bahut Se Masyael Aur Badi Tafsilaat Ke Saath Janne Ke Liye Sarkar Alahazrat Ki Fatawa Razviya Sharif Aur Sad'rushshriah Ki Bahar-E-shariat Ka Mutala Kare Hum Ne Sirf Zaroori Aur Aasan Masayel Hi Bayan Kiye Hain.
--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI
🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html