____________________________________
FATEHA YAANI ESAAL_e_SAWAAB Ke MUNKIREEN KA TA’ARRUF

✳ Saabeq daur mein ek gumrah firqa guzra hai usey ma’tazila kaha jaata hai wo itna taaqatwar firqa ban gaya ki salateen zamana (mamoon rasheed wagakra) jinke mashaheer unke ishaare par chalet the.

Unhone sunni ayyima o ullama o mashaeq ko mazhabi taassub mein shaheed kardiya aur IMAM AHMED BIN HAMBAL jaisa ullama ko jailon ki azeeyato se dochaar kiya.

✳ Hamara aqeeda hai ki SUNNI MASLAK ka muhafiz khud ALLAH hai kyunki us waqt bhi aaj ki tarah SUNNI log be sahara the lekin ALLAH TA’ALA ne aesi gaibi madad farmayi ki wo salateen jo ma’tazila ke ishaare ke muntazir rahte the unhone hi ma’tazila ki aesi jadd kaati ki phir ma’tazila ka
naam lena bhi jurm tha aur aaj to unhey koi jaanta tak nahi.

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Other Part-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/saboot-fateha.html