____________________________________

31. Shah Abdul Aziz Dehlvi رحمة الله عليه​ (Al Mutawaffa 1239 Hizri) :

🌼Aap Famate Hain Ki Sharhe Maqadis Me Hai Ki Qabro Ki Ziyarat Aur Nek Logo Ki Zat Se Intikal Ke Baad Fayeda Hasil Kiya Jata Hai. Beshak Intiqal Ke Baad Nafs (Ruh) Ka Badan Aur Qabr Ke Sath Ek Ta’alluk Rahta Hai. Lihaza Jab Koi Shakhs Us Qabr Ki Ziyarat Karta Hai Aur Mayyat Ke Nafs Ki Taraf Mutawajjah Hota Hai To Dono Nafso (Ruh) Ke Darmiyan Mulaqat Aur Faizan Ka Ta’alliq Qayam Ho Jata Ha. Is Me Ikhtilaf Hai Ki Zinda Ki Imdad Takatwar Hai Ya Mayyat Ki.

🌺Baaz Muhaqqiqeen Ne Mayyat Ki Imdad Ko Takatwar Karar Diya Hai Baaz Hazrat Ne Is Silsile Me Rawayat Ki Hai Ki Huzur ﷺ Ne Farmaya Jab Kisi Kam Me Hairan Ho Jao To Qabr Walo Se Madad Talab Karo.

🌼Shaikh Azal Hazrat Abdul Haq Muhaddis Dehlvi رضي الله عنه Ne Mishkat Ki Sharah Me Farmaya
Hai Ki Kitab Wa Sunnat Aur Buzurgane Din Ke qaul Me Koi Esi Baagt Nahi Paaee Jati Jo uske Mukhalif Ho Aur baat Ko Radd Kare.

📜(Fatawa Aziziya Zild.2, Pg.108)

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Other Part-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/waseela.html