Chapter- 9 " GUSL KA TARIQAH "
______________________________________


Gusl Yani Islami Tariqe Se Paki Hasil Karne Ka Masnoon Tariqa Dhiyan Se Padhiye Insha'Allah Samajh Me Aayga ~

Jab Bhi Gusl Karna Ho Pehle Niyyat Kar Ke Gusl Khane Me Dakhil Ho.

Phir Dono Hath 3 Martaba Gatthon Tak Dhoyen, Phir Istinja Ki Jagah Ko Dhoyen Chahe Gandgi Lagi Ho Ya Na Lagi Ho,

Phir Badan Ke Jis Hisse Par Najasat Lagi Ho Use Dhoyen Uske Baad Namaz Jaisa Wazu Kare, Magar Paon Na Dhulen Haan Agar Aap Chowki Ya Unche Patthar Ya Kisi Takhte Par Baithe Hon To Phir Paon Bhi Dhule.

Phir Badan Par Tel (Oil) Ki Tarah Paani Chapad Le.

Phir 3 Martaba Sidhe Kandhe Phir 3 Martaba Ulte Kandhe Par Pani Bahaye.

Phir Sar Pe Pani Bahaye Phir 3 Baar Pure Badan Par Bahaye Is Tarah Ki Koi Jagah Dhulne Se Baqi Na Rahe.

Pehle Aagr Wazu Karne Me Paon Nahi Dhule The To Ab Dhul Le.

Tamam Badan Par Hath Phere Aur Male.

Gusl Aisi Jagah Kare Jahan Koi Na Dekhe, Agar Aam Jagah Gusl Kar Raha Ho Jahan Kisi Ki Nazar Padti Hai To Aisi Jagah Apne Naaf Se Ghutno Tak Kapda Pahen Le Aur Phir Gusl Kare.

Nahate Waqt Qibla Rukh Na Ho.

Nahate WAQT Na Baat Kare Na Kisi Qism Ki Dua Padhe.


Jahan Kisi Ke Dekhne Ka Ehtemal Na Ho Wahan Nanga Nahane Me Harj Nahi.

Gusl Me Aurton Ko Bahot Ehtiyaat Chahiye Hatta Ki Aurton Ko Baith Kar Nahana Chahiye Aur Gusl Hote Hi Kapde Pahen Le.

✳️Note - Gusl Me 3 Baaten Farz Hai Aur Kuch Sunnat Aur Kuch Mustahab Hai.
Farz Me Se Agar 1 Farz Pe Bhi Amal Na Hua To Gusl Hi Nahi Hua.

{📜 Qanoone Shari'at, Hissa-1, Page-57}


▪️ Fara'ize Gusl Ye Hain ~

1- Kulli Karna.
2- Naak Me Pani Dalna.
3- Tamam Badan Pe Pani Bahana.

--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI

🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html