✒Chapter- 8 " WAZU TODNE WALI CHIZON KA BAYAN "
______________________________________
Mas'ala:
Muh Se Khoon Nikla Agar Wo Thook Par Galib Tha Yani Khoon Ka Rang Garha Tha To Wazu Toota Agar Khoon Ka Rang Pheka Tha Aur Thook Ziyadah Tha To Nahi Toota.
{📜 Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-305}
Mas'ala:
Muh Bhar Ke Ulti Hona Ya Ulti Me Safra Ya Paani Ya Khana Hi Nikle Tab Bhi Wazu Toota, Walti Me Sirf Balgam Hi Nikla To Wazu Nahi Toota.
{📜 Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-305}
Mas'ala:
So Jane Se Wazu Tootata Hai, Oonghne Ya Baithe Baithe Jhonkne (Dhilki Marne) Se Wazu Nahi Tootata.
{📜 FATAWA RAZVIYAH, Jild-1, Page-367}
Mas'ala:
Behoshi, Junoon, Gashi Aur Itna Nasha Karna Ki Chalne Me Paon Ladkhadaye Ye Sab Wazu Tod
Deta Hai.
{📜 Durre Mukhtar, Jild-1, Page-299}
Mas'ala:
GUTHNA Ya Satar Apna Ya Paraya Khulne Se Ya Use Dekhne Se Wazu Nahi TootaTa.
{📜 Fatawa Razviyah, Jild-1, Page-319}
--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI
🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html