Chapter- 8 " WAZU TODNE WALI CHIZON KA BAYAN "
______________________________________


Mas'ala:

Pakhana, Peshab, Mani, Mazi (Wo Safed Patla Pani Jo Sohbat Ke Khayal Se Nikalta Hai Bahot Mamooli Miqdar Me), Aur Wadi (Wo Safed Pani Jo Peshab Ke Bad Nikalta Hai), Keeda, Hawa (Mard Ya aurat Ke Pichle Maqam Se Hawa Nikalna) Pathri Mard Ya Aurat Ke Aage Ya Piche Se Nikle Wazu Jata Rahega.

{📜 Bahare-E-Shariat Hissa-2, Page-303}


Mas'ala:

Khoon Ya Peep Kahi Se Nikal Kar Baha Aur Beh Kar Jism Ke Us Hisse Par Pahuncha Jiska Wazu Ya Gusl Me Dhona Farz Hai To Wazu Jata Raha.

Khoon Ya Peep Sirf Chamka Aur Ubhra Magar Baha Nahi Aur Khilal Ya Miswak Ya Ungli Se Dant Manjhte WAQT Khoon ka Asar Paya Ya Naak Me Ungli Dali Uspe Khoon Ka Asar Malum Hua
Magar Wo Behne ke Qabil Nahi To Wazu Na Toota.

{📜 Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-304}


Mas'ala:

Khoon Nikla Magar Beh Kar Aisi Jagah Nahi Aaya Jiska Dhona Farz Tha To Wazu Na Toota.

Jaise Aankh Me Dana Tha Aur Phoot Kar Ankh Me Hi Phail Gaya Bahar Nahi Aaya To Wazu Nahi Toota, KAAN Me Dana Tha Toot Kar Uska Pani Surakh Se Bahar Nahi Nikla To Wazu Baqi Raha.

{📜 Bahare-E-Shariat, Hissa-2, Page-305}

--------------------------------------------------------
📕 HAQ KI BANDAGI

🖌️Mufti Sufi Muhammad Kaleem Hanfi Razvi Noori Sahab Qibla

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/haq-ki-bandagi.html